Nanotvi Ka Lashkar | Abdul Latif Husairi

Nanotvi Ka Lashkar | Abdul Latif Husairi

Nanotvi Ka Lashkar | Abdul Latif Husairi
: :

Nanotvi ka lashkar sidq-o-wafa ka paikar
Ulma-e-deoband, Ulma-e-deoband

Haq goi ke jurm me Yorish ho ya aman me
Sahte rahe sitam , Ulma-e-deoband

Nanotvi ka lashkar sidq-o-wafa ka paikar
Ulma-e-deoband, Ulma-e-deoband

Zalim ka zulm roka, Kuffar ko nachaya
Angrez bhediye se khittah hai ye chhuraya

Wo shamli ka maidan zamin hai khoon me gharqa
Kiya maut ko pasand ulma-e-deoband

Nanotvi ka lashkar sidq-o-wafa ka paikar
Ulma-e-deoband, Ulma-e-deoband

Khoon se qaseede likh kar
Ashab (ra) Mustafa(saw) ke

Siddiq (ra), Umar (ra), Ghani(ra) ke
Haidar (ra) sher-e-Khuda ke

Jhangwi faruq-e-izhar shuab-o-habib-e-mukhtar
Chhalni kare badan ulma-e-deoband

Nanotvi ka lashkar sidq-o-wafa ka paikar
Ulma-e-deoband, Ulma-e-deoband

Is maadi daur me wo aslaf ka nishan tha
Himmat me hausle me rifat ka asman tha

Ashab ka tha khadim wo pyara tarik azam
Furqat ka de gaya gham ulma-e-deoband

Nanotvi ka lashkar sidq-o-wafa ka paikar
Ulma-e-deoband, Ulma-e-deoband

Darkhasti Bukhari aur Hazrat-e-Lahauri
Qazi Ehsan Akhtar aur Hazrat-e-Binori

Mirzai ke liye then harjaai ke liye then
Wo maut ka zakham ulma-e-deoband

Nanotvi ka lashkar sidq-o-wafa ka paikar
Ulma-e-deoband, Ulma-e-deoband

Mewat ka ilaqa tariqiyon ka dera
Ilyas ne lahraya tableegh ka ye phera

Unki tadap ko dekho fikr-o-karab ko dekho
Sare jahan ka gham ulma-e-deoband

Nanotvi ka lashkar sidq-o-wafa ka paikar
Ulma-e-deoband, Ulma-e-deoband

Panipat ke wo jaziren aur malta ki raten
Sheron ke hansle ki sabr-o-wafa ki baten

Mahmood madni pyare piste rahe wo sare
Lekin hue na kham ulma-e-deoband

Nanotvi ka lashkar sidq-o-wafa ka paikar
Ulma-e-deoband, Ulma-e-deoband