Soz-e-Dil Chahiye | Hafiz Abdul Qadir
Soz-e-Dil Chahiye | Hafiz Abdul Qadir
Soz-e-dil chahiye, Chashm-e-nam chahiye
Aur shouq-e-talab mo’tbar chahiye
Ho moyassar madine ki galiyan agar
Haan madine ki galiyan agar
Aankh kaafi nahin hai nazar chahiye
Aur shouq-e-talab mo’tbar chahiye
Soz-e-dil chahiye, Chashm-e-nam chahiye
Aur shouq-e-talab mo’tbar chahiye
Unki mehfil ke adaab kuchh aur hain
Lab kushai ki jurrat munasib nahi
Unke sarkaar me iltaja ke liye
Jumbi shay lab nahi chashm-e tar chahiye
Soz-e-dil chahiye, Chashm-e-nam chahiye
Aur shouq-e-talab mo’tbar chahiye
Mai gadaa-e-dar-e-shah-e-konain hun
Sheeshe mehlon ki mujhko tamnna nahi
Ho moyassar zameen par ke zer-e-zameen
Mujhko taiba me ek apna ghar chahiye
Soz-e-dil chahiye, Chashm-e-nam chahiye
Aur shouq-e-talab mo’tbar chahiye
Rounaq-e-zindagi ki bahut dekh li
Ab mai ankhon ka apni karunga bhi kya
Ab na kuchh guftuni hai na kuchh deedani
Mujhko aqaa (saw) ki bas ek nazar chahiye
Soz-e-dil chahiye, Chashm-e-nam chahiye
Aur shouq-e-talab mo’tbar chahiye