Tere Siwa Mabood-e-Haqeeqi Koi Nahi Hai | Anas Younus
Tere Siwa Mabood-e-Haqeeqi Koi Nahi Hai | Anas Younus
Tere siwa mabood-e-haqeeqi koi nahi hai, koi nahi
Tere siwa maujood-e-haqeeqi koi nahi hai, koi nahi
Tere siwa maqsood-e-haqiqi koi nahi hai, koi nahi
Tere siwa mashhood-e-haqiqi koi nahi hai, koi nahi, Mere Ilah
Tere siwa masjood-e-haqiqi koi nahi hai, koi nahi
Tere siwa maujood-e-haqeeqi koi nahi hai, koi nahi, Mere Ilah
Ab to rahe bas ta-dame aakhir vird-e-zuban ae mere Ilah
Laa ilaaha illallaahu, Laa ilaaha illallaah
Zikr me tere sab ko bhula dun koi na mujh ko yaad rahe
Tujh pe sab ghar-baar luta dun khana-e-dil abaad rahe
Sab khushiyon ko aag laga dun, gham se tere dil-shaad rahe
Nazar se apni sabko gira dun tujhse faqat faryaad rahe, Mere Ilah
Ab to rahe bas ta-dame aakhir vird-e-zuban ae mere Ilah
Laa ilaaha illallaahu, Laa ilaaha illallaah, Laa ilaaha illallaah
Har bahr-o-bar pe teri nazar, Har shajar-o-hajar pe teri nazar
Shams-o-qamar pe teri nazar, Jinn-o-bashar pe teri nazar, Mere Ilah
Asiya momin pe nazar, Fasiq-o-fajir pe nazar
Teri nazar ki yaktaai me, ghum hai har insan ki nazar, Mere Ilah
Ab to rahe bas ta-dame aakhir vird-e-zuban ae mere Ilah
Laa ilaaha illallaahu, Laa ilaaha illallaah, Laa ilaaha
Teri sana har shai me chhupi aur tu saare jahan me chhupa
Teri hamad har shai me ayan, aur tu saare jahan me ayan, Mere Ilah
Makhfi bhi tu aur ayan bhi, Hai yeh do alam pe ayan,
Mujh kam-zarf se teri sana, Mere Ilah ho kaise bayan, Mere Ilah
Ab to rahe bas ta-dame aakhir vird-e-zuban ae mere Ilah
Laa ilaaha illallaahu, Laa ilaaha illallaah, Laa ilaaha
Makhfi nhi hai teri nazar se, Koi bhi barg-e-shajar,
Um pe bahr me bar hajar, Choonti pe hai teri nazar
Kashif-o-Aasi pem-o-Ilahi, Rahmat ki aisi nazar,
Zulmat isiya chhat jaaye, Aur ho jaaye sabir shakir,
Ab to rahe bas ta-dame aakhir vird-e-zuban ae mere Ilah
Laa ilaaha illallaahu, Laa ilaaha illallaah