Agar Ye Masajid Madaris Na Hote | Mohammad Qasim Azmi
Agar Ye Masajid Madaris Na Hote | Mohammad Qasim Azmi
Agar ye masajid madaris na hote
Kahin bhi jahan me musalman na hote
Ba-soorat bashar sab darinde hi hote
Kisi bhi jagah acchhe insan na hote
Agar raah dikhate na ahl-e-shari’at
Jabeenon me sajde tadapte hi rahte
Kisi ko bhi taufiq-e-tauba na hoti
Kisi ki bhi bakhshish ke saman na hote
Agar ye masajid madaris na hote
Kahin bhi jahan me musalman na hote
Ba-soorat bashar sab darinde hi hote
Kisi bhi jagah acchhe insan na hote
Yehi warisan-e-Nabi (saw) hain jinhonne
Dikhaya hai duniya ko noor-e-hidayat
vagarna yahan kufr ka raaj hota
Zameen par kahin ahl-e-imaan na hote
Agar ye masajid madaris na hote
Kahin bhi jahan me musalman na hote
Ba-soorat bashar sab darinde hi hote
Kisi bhi jagah acchhe insan na hote
Agar na jalate ye ahl-e-madaris
Dilon jaan karo wan shab-e-tirgih me
Rahe zindagi ke ye mushkil marahim
Kabhi ibn-e-Aadam pe aasan na hote
Agar ye masajid madaris na hote
Kahin bhi jahan me musalman na hote
Ba-soorat bashar sab darinde hi hote
Kisi bhi jagah acchhe insan na hote
Agar ahl-e-zikr-o-tasawwuf na hote
Kabhi bhi khuda ka ta’aruf na hota
To husn-e-azal ke na israr khulte
Kahin ahl-e-dil ahl-e-irfan na hote
Agar ye masajid madaris na hote
Kahin bhi jahan me musalman na hote
Ba-soorat bashar sab darinde hi hote
Kisi bhi jagah acchhe insan na hote
Yahi hai naqeeban-e-ummat jinhonne
Jawanon ko jannat ka rasta dikhaya
Vagarna yahan mulk-o-millat ki khatir
Kabhi laal maaon ke qurban na hote
Agar ye masajid madaris na hote
Kahin bhi jahan me musalman na hote
Ba-soorat bashar sab darinde hi hote
Kisi bhi jagah acchhe insan na hote