Zameen Maili Nahi Hoti Zaman Maila Nahi Hota | Shahbaz Qamar Fareedi

: :

Zameen maili nahi hoti, zaman maila nahi hota
Mohammad (saw) ke ghulamon ka kafan maila nahi hota

Mohabbat Kamli wale se, wo jazba hai suno logo
Yeh jis man me sama jaaye, woh man maila nahi hota
Mohammad (saw) ke gulamon ka kafan maila nahi hota

Gulon ko choom lete hain seharnam shabnami qatre
Nabi (saw) ki naat sun le to chaman maila nahi hota
Mohammad (saw) ke gulamon ka kafan maila nahi hota

Jo Naam-e-Mustafa (saw) choome, nahi dukhti kabhi ankhein
Pahen le pyaar jo Unka, badan maila nahi hota
Mohammad (saw) ke gulamon ka kafan maila nahi hota

Nabi (saw) ka daman-e-rehmat pakar lo ae jahan walo
Rahe jab tak yeh hathon me, chalan maila nahi hota
Mohammad (saw) ke gulamon ka kafan maila nahi hota

Main nazan to nahi fan par magar Nasir yeh dawa hai
Ke Sana-e-Mustafa (SAW) karne se fan maila nahi hota