Meri Jaan Ali (RA) | Hafiz Salahuddin Al-Maroofi

Kabhi deewar hilti hai
Kabhi dar kaanp jata hai
Ali (ra) ka naam sunkar
Ab bhi khaibar kaanp jaata hai
Dil dada-e-Mohammad (saw), Jurrat ki ek kahani
Wo hazrate Ali (ra) hain, rakhte nahin jo sani
Meri jaan Ali, meri shan Ali
Mera dilruba pahchan Ali
Jinki hui wiladat kaabe ke saaeban me
Us zufishan sitare ki raushni jahan me
Qismat ke unse lagti hai koi razdani
Wo hazrate Ali hain, rakhte nahin jo sani
Dil dada-e-Mohammad (saw), Jurrat ki ek kahani
Wo hazrate Ali (ra) hain, rakhte nahin jo sani
Meri jaan Ali, meri shan Ali
Mera dilruba pahchan Ali
Guzra Nabi ke ghar hi bachpan ka hai zamana
Yun thi Nabi ko unse ulfat bhi walihana
Daman me khoob unke thi daulat-e-emani
Wo hazrate Ali hain, rakhte nahin jo sani
Dil dada-e-Mohammad (saw), Jurrat ki ek kahani
Wo hazrate Ali (ra) hain, rakhte nahin jo sani
Meri jaan Ali, meri shan Ali
Mera dilruba pahchan Ali
Duniya me mil gai thi jannat ki bhi basharat
Hasil hui Nabi ki sohbat se ye sa’adat
Unpe thi dar haqeeqat Allah ki meharbani
Wo hazrate Ali hain rakhte nahin jo sani
Dil dada-e-Mohammad (saw), Jurrat ki ek kahani
Wo hazrate Ali (ra) hain, rakhte nahin jo sani
Meri jaan Ali, meri shan Ali
Mera dilruba pahchan Ali
Bistar pe yaar ke tha yun let kar dikhaya
Dushman ke har makar ko hi khak me milaya
Unke qadam ko choome har waqt kamrani
Wo hazrate Ali hain rakhte nahin jo sani
Dil dada-e-Mohammad (saw), Jurrat ki ek kahani
Wo hazrate Ali (ra) hain, rakhte nahin jo sani
Meri jaan Ali, meri shan Ali
Mera dilruba pahchan Ali
Jabl-e-ohad gawah hai unki bahaduri ka
Ab tak laga raha hai wo naara haidri ka
Haq pe luta di usne Apni to zindgani
Wo hazrate Ali hain rakhte nahin jo sani
Dil dada-e-Mohammad (saw), Jurrat ki ek kahani
Wo hazrate Ali (ra) hain, rakhte nahin jo sani
Meri jaan Ali, meri shan Ali
Mera dilruba pahchan Ali
Shabbir Saqib unki kaise karun main midhat
Sarkham zuban me bhi aesi nahin hai taqat
Aajiz to aa gain hain qalbon ki ab rawani
Wo hazrate Ali hain rakhte nahin jo sani
Dil dada-e-Mohammad (saw), Jurrat ki ek kahani
Wo hazrate Ali (ra) hain, rakhte nahin jo sani
Meri jaan Ali, meri shan Ali
Mera dilruba pahchan Ali (RA)