Jagah Jee Lagane Ki Duniya Nahi Hai | Owais Raza Qadri

Jagah Jee Lagane Ki Duniya Nahi Hai | Owais Raza Qadri

Jagah Jee Lagane Ki Duniya Nahi Hai | Owais Raza Qadri
: :

Jahan me hain ibrat ke har so namoone
Maghar tujhko andha kiya rang-o-bu ne
Kabhi ghor se bhi yeh dekha hai tune
Jo aabad the woh mahal ab hain soone

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Mile khaak me ahl-e-shaan kaise kaise
Makeen ho gaye laa-makaan kaise kaise
Hue naamwar be-nishaan kaise kaise
Zameen kha gayi nojawan kaise kaise

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Ajal ne na Qisra hi chhora na Dara,
Isi se sikander sa fateh bhi hara
Har ek leke kya kya na hasrat sidhara
Pada reh gaya sab yun hi thaath sara

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Budhape se paker payam-e-qaza bhi
Na chaunka na cheta na sambhla zara bhi
Koi teri ghaflat ki hai intehan bhi
Junoon kab talak hosh me apne aa bhi

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Tujhe pehle bachpan me barson khilaya
Jawani ne phir tujhko majnu banaya
Budhape ne phir aake kya kya sataya
Ajal tera ker degi bilkul safaya

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Yehi tujhko dhun hai rahun sabse baala,
Ho zeenat nirali ho fashion nirala
Jiya karta hai kya yunhi marne wala
Tujhe husn-e-zahir ne dhokhe me dala

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Woh hai aish-o-ishrat ka koi mahal bhi
Jahan taak me har ghadi ho ajal bhi
Bas ab apne is jehal se tu nikal bhi
Yeh tarz-e-maishat ab apna badal bhi

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Yeh duniya-e-fani hai mehboob tujhko
Hui aah kya cheez marghoob tujhko
Kiya haay shaitan maghloob tujhko
Samajh lena ab chahiye khoob tujhko

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Na dil dada-e-sher goi rahega
Na gar dida-e-shohra jori rahega
Na koi raha hai na koi rahega
Rahega to zikr-e-nikoi rahega

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai

Jab is bazm se uth gaye dost aksar
Aur uthte chale ja rahen hain barabar
Har waqt pesh-e-nazar hai jab manzar
Yahan par tera jee behelta hai kyun kar

Jagah jee lagane ki duniya nahi hai
Ye ibrat ki jaa hai tamasha nahi hai