Suno Yeh Har Sawal Ka Jawab Hai | Abdullah Farooq

Suno Yeh Har Sawal Ka Jawab Hai | Abdullah Farooq

Suno Yeh Har Sawal Ka Jawab Hai | Abdullah Farooq
: :

Aqeeden inqelab hain kitab hai Kitab hai
Tuloo-e-aftab hai, Kitab hai, Kitab hai

Suno ye har sawal ka jawab hai
Kitab hi hamara intekhab hai

Kaho ye zulmaton ki kali raat se
Hato ke ab tuloo-e-aftab hai

Haseen-o-la-jawab hai
Mera nishan kitab hai

Kitab hi ae doston
Nabi (saw) de inqelab hai

Suno ye har sawal ka jawab hai
Kitab hi hamara intekhab hai

Kaho ye zulmaton ki kali raat se
Hato ke ab tuloo-e-aftab hai

Shaoor ‘ilm aa gayin wo bandagi
Kitab qaum ke liye hai zindagi

T’assubon fareb jahal nafraten
Mitayegi samaaj ki ye gandagi

Kitab me hi mulk-o-qaum ke liye
Taraqqi-o-urooj ka nisab hai

Haseen-o-la-jawab hai
Mera nishan kitab hai

Kitab hi ae doston
Nabi (saw) de inqelab hai

Suno ye har sawal ka jawab hai
Kitab hi hamara intekhab hai

Kaho ye zulmaton ki kali raat se
Hato ke ab tuloo-e-aftab hai

Isi me rif’aton ke raaz hai niha
Isi ke saaye me hai amn aur aman

Isi me manzil-e-murad ke nishan
Bhatak rahe ho tum kahan ae meri jaan

Ise hi sakht thamne ka hukm hai
Yehi wo habr hai ye wo talab hai

Haseen-o-la jawab hai
Mera nishan kitab hai

Kitab hi ae doston
Nabi (saw) de inqelab hai

Suno ye har sawal ka jawab hai
Kitab hi hamara intekhab hai

Kaho ye zulmaton ki kali raat se
Hato ke ab tuloo-e-aftab hai

Aqeeden inqelab hain kitab hai Kitab hai
Tuloo-e-aftab hai, Kitab hai, Kitab hai

Ye apni tazgi me Kashmir hai
Khirad bhi iske husn ka aseer hai

Hai Gilgit-o-Sawat jiska aayena
Waraq waraq jahan-e-dil baseer hai

Ye apni wus’aton me bahr-e-be karam
Yeh sindh raavi jehlam aur chenab hai

Haseen-o-la jawab hai
Mera nishan kitab hai

Kitab hi ae doston
Nabi (saw) de inqelab hai

Suno ye har sawal ka jawab hai
Kitab hi hamara intekhab hai

Kaho ye zulmaton ki kali raat se
Hato ke ab tuloo-e-aftab hai

Kisi ke jhoothe naaron me na ayenge
Kisi ki meethi baton pe na jayenge

Jo vote le ke bhool jate hain unhen
Ham apni mohar se sabaq sikhayenge

Khatayen jo hui hain hamse maazi me
Unhin ka ek ye sadd-e-baab hai

Haseen-o-la jawab hai
Mera nishan kitab hai

Kitab hi ae doston
Nabi (saw) de inqelab hai

Suno ye har sawal ka jawab hai
Kitab hi hamara intekhab hai

Kaho ye zulmaton ki kali raat se
Hato ke ab tuloo-e-aftab hai

Aqeeden inqelab hain kitab hai Kitab hai
Tuloo-e-aftab hai, Kitab hai, Kitab hai

Utho badal do zulma ke nizam ko
Nijat do khawas se awam ko

Ham hi ne apni koshishon se dena hai
Shuroor qaumiyat ka izdiham ko

Nazar utha ke khud hi dekh lo zara
Ye mulk hai ya khana-e-kharab hai

Haseen-o-la jawab hai
Mera nishan kitab hai

Kitab hi ae doston
Nabi (saw) de inqelab hai

Suno ye har sawal ka jawab hai
Kitab hi hamara intekhab hai

Kaho ye zulmaton ki kali raat se
Hato ke ab tulu-e-aftab hai

Kitab firqa bandiyan mitayengi
Kitab deen ki bahaar layegi

Jo dohriyat beej bone aaye hain
Kitab unke parde bhi uthayegi

Jo mulk dushmanon ke aalakar hain
Kitab unke waste ‘azab hai

Haseen-o-la jawab hai
Mera nishan kitab hai

Kitab hi ae doston
Nabi (saw) de inqelab hai

Suno ye har sawal ka jawab hai
Kitab hi hamara intekhab hai

Kaho ye zulmaton ki kali raat se
Hato ke ab tuloo-e-aftab hai

Aqeeden inqelab hain kitab hai Kitab hai
Tuloo-e-aftab hai, Kitab hai, Kitab hai

Ye warisan-e-anbiya ka karwan
Tumhare gham gussar tum pe meharban

Jwad ye hi qabil-e-bharosa hai
Ye sawarenge tumhare do jahan

Chamk damak pe bahako na kisi ki tum
Ilawa inki jo bhi hai sarab hai

Haseen-o-la jawab hai
Mera nishan kitab hai

Kitab hi ae doston
Nabi (saw) de inqelab hai

Suno ye har sawal ka jawab hai
Kitab hi hamara intekhab hai

Kaho ye zulmaton ki kali raat se
Hato ke ab tuloo-e-aftab hai

Aqeeden inqelab hain kitab hai Kitab hai
Tuloo-e-aftab hai, Kitab hai, Kitab hai