Main Chup Khada Hua Hoon | Qari Waheed Zafar Qasmi
Main Chup Khada Hua Hoon | Qari Waheed Zafar Qasmi
Main chup khada hua hoon
Darbar-e-Mustafa (saw) me
Aankhon se bolta hoon
Darbar-e-Mustafa me
Mera wajood jaise gum
Hoke rah gaya hai
Khud se bichhad gaya hoon
Darbar-e-Mustafa me
Mahsoos ho raha tha
Sadiyan simat gayi hain
Kuchh der hi raha hoon
Darbar-e-Mustafa me
Kya ab mere rab ka
Mujh par karam na hoga
Ab to main aa gaya hoon
Darbar-e-Mustafa me
Aansoo nadamaton ke hain
Chashm-e-tar se jari
Chhup chhup ke ro raha hoon
Darbar-e-Mustafa me
Allah meri qismat
Barsat rahmaton ki
Ankhon se dekhta hoon
Darbar-e-Mustafa me
Kirnen nikal rahi hain
Mere wajood se bhi
Khursheed ban gaya hoon
Darbar-e-Mustafa me
Dil me sama gayi hain
Apnaiyyat ki khushboo
Jis jis se mai mila hoon
Darbar-e-Mustafa me
Ejaz meri matti
Ab ho gayi swarat
Main keemiya bana hoon
Darbar-e-Mustafa me
Main chup khada hua hoon
Darbar-e-Mustafa me
Aankhon se bolta hoon
Darbar-e-Mustafa me