Arab Ke Hadi | Abaan Kareem Bukhari

Arab Ke Hadi | Abaan Kareem Bukhari

Arab Ke Hadi | Abaan Kareem Bukhari
: :

Arab ke Hadi, Arab ke Hadi
Arab ke Hadi, Arab ke Hadi

Falak se atif ne ye pukara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Khushi se jhooma to har sitara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Machi thi shadi machi thi dhoomen
Falak ki roshan jabeen dekho

Haseen duniya mein hamne dekhe
Magar ye kaisa haseen dekho

Wo kya sama tha wo kya nazara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Falak se atif ne ye pukara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Khushi se jhooma to har sitara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Unhi ke faizan ka hai sadqah
Jahan mein har soo hua ujala

Ke doobi ummat ko zulmaton se
Pi shah-e-abrar ne nikala

To muskuraya gham ka mara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Falak se atif ne pukara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Khushi se jhooma to har sitara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Ke jis guzar ghah se guzre aqaa (SAW)
Salam karte shajar ko dekha

Abu jahal ke haath mein ham
Kalmah padhte hajar ko dekha

Qamar bhi hojaye para para
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Falak se atif ne pukara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Khushi se jhuma to har sitara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Khuda ne moosa ko apna jalwa
Ke daman-e-toor mein dikhaya

To pas apne habeeb ko bhi
Falak pe miraj ko bulaya

Malaika ne falak sawanra
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Falak se atif ne pukara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Khushi se jhuma to har sitara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Shabbir saqib mili sa’adat
Zuban pe jari hain naat unki

Khuda ke baad bas sifat ke layaq
Ye kul jahan mein hai zaat unki

Shikasta dil ko bhi khoob nikhara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Falak se atif ne pukara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi

Khushi se jhuma to har sitara
Ke laye tashreef Arab ke Hadi