Kuch Aisa Kar De | Hafiz Bilal Qadri
Kuch Aisa Kar De | Hafiz Bilal Qadri
Kuchh aisa kar de mere kirdgar ankhon me
Hamesha naqsh rahe roo-e-yaar ankhon me
Basar ke sath baseerat bhi khoob roshan ho
Lagaaun khak-e-qadam bar bar ankhon me
Kuchh aesa kar de mere kirdgar ankhon me
Hamesha naqsh rahe roo-e-yaar ankhon me
Nazar me kaise samayenge phool jannat ke
Phool kya dekhun meri ankhon me
Dasht-e-taiba ke khar phirte hain
Nazar me kaise samayenge phool jannat ke
Ke bas chuke hain madine ke khar ankhon me
Kuchh aesa kar de mere kirdgar ankhon me
Hamesha naqsh rahe roo-e-yaar ankhon me
Ye dil tadap ke kahin ankhon me na aa jaye
Ke phir raha hai kisi ka mazar ankhon me
Kuchh aesa kar de mere kirdgar ankhon me
Hamesha naqsh rahe roo-e-yaar ankhon me
Wo sabz sabz nazar araha hai gumbad sabz
Qarar agaya yun be-qarar ankhon me
Kuchh aesa kar de mere kirdgar ankhon me
Hamesha naqsh rahe roo-e-yaar ankhon me
Unhen na dekha to kis kaam ki hai ye ankhen
Deedar ke qabil to nahin chashm-e-tamanna
Lekin wo kabhi khwaab me ayen to ajab kya
Unhen na dekha to kis kaam ki hai ye ankhen
Ya rab tere mahboob ka jalwa nazar aaye
Us noor-e-mujassam ka sarapa nazar aaye
Ae kash kabhi aisa bhi ho khwab me mere
Ke hun jiski ghulami me, wo aaqa nazar aaya
In ankhon ka warna koi masraf hi nahin hai
Sarkar (saw) tumhara rukh-e-zeba nazar aaye
Unhen na dekha to kis kam ki hai ye ankhen
Ke dekhne ki hai saari bahaar ankhon me
Kuchh aesa kar de mere kirdgar ankhon me
Hamesha naqsh rahe roo-e-yaar ankhon me
Farishton poochhte ho mujh se kis ki ummat ho
Lo dekh lo ye hai tasweer yaar ankhon me
Kuchh aesa kar de mere kirdgar ankhon me
Hamesha naqsh rahe roo-e-yaar ankhon me
Piya hai jam-e-mohabbat jo aap ne Noori
Hamesha iska rahega khumar ankhon me
Kuchh aesa kar de mere kirdgar ankhon me
Hamesha naqsh rahe roo-e-yaar ankhon me