Naat-e-Mustafa (saw) | Kaleem Waris
Naat-e-Mustafa (saw) | Kaleem Waris
Mustafa (saw) Mustafa (saw)
Mustafa (saw) Mustafa (saw)
Main tha ek din khyalon mein khoya hua
Rab se maine tasawwur mein ki ilteja
Kaun hai tujhko pyara ae mere khuda
Mujhse mere khuda ne kaha Mustafa (saw)
Mustafa (saw) Mustafa (saw)
Mustafa (saw) Mustafa (saw)
Poocha aadam (as) se maine ke ausafi
Aapse badhkar jag mein koi bhi nahi
Bole mujhse bhi badhkar wo mahjabeen
Naam jinka sar-e-arsh maine padha
Mustafa (saw) Mustafa (saw)
Mustafa (saw) Mustafa (saw)
Poocha Yousuf (as) se maine ke pyare nabi
Dekhkar tujhko hai ungliyan kaat din
Bole mujhse bhi hain is jahan mein haseen
Jisne dekha unhe, Unpe khud kat gaya
Poocha nabiyon se maine ke ae anmbiya
Lail Me’raj mein kya hua waqya
Bolen sab anmbiya ke qasam bakhuda
Ham banen muqtadi, wo banen muqtada
Mustafa (saw) Mustafa (saw)
Mustafa (saw) Mustafa (saw)
Poocha Jibraell (as) se mujhko yeh to bata
Kaun hai tujhse aqrab ala rabbana
Bolen meri to had Sidrat-ul-Muntaha
Ae kaleem is se aage gaye Mustafa
Mustafa (saw) Mustafa (saw)
Mustafa (saw) Mustafa (saw)