Junaid Aa Gaya Hai | Syyed Yasir Soharwardi
Junaid Aa Gaya Hai | Syyed Yasir Soharwardi
Junaid aa gaya hai, Junaid aa gaya hai
Ke khadim tumhara Junaid aa gaya hai
Tumhen kuchh khabar hai kahan aa gaya hun
Rasool-e-khuda hain wahan aa gaya hun
Tumhen kya khabar hai ke kya pa liya hai
Shahadat ka wo martaba paa liya hai
Mujhe jake rahna hai jannat me ab to
Mohammad (saw) ka jalwa nazar aa gaya hai
Farishton ne ye de diya hai payaam
Ke aata hai Aaqa Junaid ghulam
Junaid aa gaya hai, Junaid aa gaya hai
Ke khadim tumhara Junaid aa gaya hai
Nigahon me sultaniyat heech karke
Basayi mohabbat Mohammad (saw) ke dil me
Sukoon-e-jahan maine paya bahashti
Mohammad ki sunnat Mohammad ki deen me
Farishton ne ahlan wa sahlan kaha hai
Kaha hai Junaid aa kaha marhaba hai
Junaid hai paya shahadat ka rutba
Kare rashk ispe khuda ki ye khilqat
Farishton ne ye de diya hai payam
Ke aata hai Aaqa Junaid ghulam
Junaid aa gaya hai, Junaid aa gaya hai
Ke khadim tumhara Junaid aa gaya hai
Ye duniya ki zeenat to kuchh bhi nahin hai
Ye daulat ye ‘ishrat to kuchh bhi nahin hai
Ye fani jahan hai yahan kuchh nahin hai
Ye ‘izzat ye shohrat to kuchh bhi nahin hai
Ghulami ye Aaqa me de dp agar jaan
To maqsad-e-hayat ho jaye poora
Farishton ne ahlan wa sahlan kaha hai
Kaha hai Junaid aa, kaha marhaba hai
Junaid hai paaya shahadat ka rutba
Kare rashk ispe khuda ki ye khilqat
Farishton ne ye de diya hai payam
Ke aata hai Aaqa Junaid ghulam
Junaid aa gaya hai, Junaid aa gaya hai
Ke khadim tumhara Junaid aa gaya hai
Ye dawat-o-tableegh na chhorna tum
Ke ye martaba maine isse hi paya
Mohammad ki seerat ko apnana logon
Isi raste chalke yahan tak main aya
Mohmmad ke raste me qurb-e-khuda hai
Yeh duniya me goya ke jannat numa hai
Farishton ne ye de diya hai payam
Ke aata hai Aaqa Junaid ghulam
Mohammad ka rauza qareeb aa gaya hai
Bulandi pe mera naseeb aa gaya hai
Wafa maine duniya me dekhi nahin hai
Main aise zamane se jo aa gaya hun
Hifazat ki maine jo imaan-o-deen ki
Khuda aur Nabi ke qareeb aa gaya hun
Shahadat ke rutbe me fayez hua hun
Mohammad ke jalwon me ghum ho gaya hun
Farishton ne ahlan wa sahlan kaha hai
Kaha hai Junaid aa, kaha marhaba hai
Junaid ne hai paya shahadat ka rutba
Kare rashk ispe khuda ki ye khilqat
Farishton ne ye de diya hai payam
Ke aata hai Aaqa Junaid ghulam
Junaid aa gaya hai, Junaid aa gaya hai
Ke khadim tumhara Junaid aa gaya hai