Darpesh Ho Taiba Ka Safar | Farhan Ali Qadri

Darpesh Ho Taiba Ka Safar | Farhan Ali Qadri

Darpesh Ho Taiba Ka Safar | Farhan Ali Qadri
: :

Darpesh Ho Taiba Ka Safar kaisa lagega
Guzre jo wahan sham-o-sahar kaisa lagega

Bada acchha lagega
Bada pyara lagega
Bada meetha lagega

Ae kaash madeene me mujhe maut yun aaye
Qadmo me ho sarkar ke sar kaisa lagega

Bada acchha lagega
Bada pyara lagega
Bada meetha lagega

Ae pyare khuda dekhun main sarkar ka jalwa
Mil jaye dua to jo asar kaisa lagega

Bada acchha lagega
Bada pyara lagega
Bada meetha lagega

Aaqa ka gada hun main jahannum bhi tu sun le
Wo kaise jale jo ke ghulam-e-madni ho

Ae kaash main ban jaaun madeene ka musafir
Phir roti hui taiba ko barat chali ho

Jab door se hai itna hansi gumbad-e-khazran
Is paar ye alam hai udhar kaisa lagega

Bada acchha lagega
Bada pyara lagega
Bada meetha lagega

Taiba ki sa’adat to yun paaten hain hazaron
Murshid ka sath ho jo safar kaisa lagega

Bada acchha lagega
Bada pyara lagega
Bada meetha lagega

Aa jayen mere ghar me agar mere rahmat-e-alam
Main kaisa lagunga mera ghar kaisa lagega

Bada acchha lagega
Bada pyara lagega
Bada meetha lagega

Darpesh Ho Taiba Ka Safar kaisa lagega
Guzre jo wahan sham-o-sahar kaisa lagega

Bada acchha lagega
Bada pyara lagega
Bada meetha lagega