Qabr Jis Dam | Nisar Ahmed Marfani

Qabr Jis Dam | Nisar Ahmed Marfani

Qabr Jis Dam | Nisar Ahmed Marfani
: :

Qabr jis dam meri tayyar karayi jaaye
Khak thodi si madeene ki bhi dali jaye

Aabe zam zam ho muyassar to ghusl de dena
Chadar-e-kafn bhi tayba se mangaayi jaye

Itni gahri ho lahad ke main khada ho jaaun
Deed jis dam mujhe aaqa ki karayi jaye

Chashme bad ko mile deedar banane ke liye
Khak paa thodi si ankhon me lagayi jaye

Jab janaze ko mere leke chalen mere raqeeb
Naat-e-Sarkar (saw) mujhe wahan bhi sunayi jaye

Hamko kanta bhi chubhe dard unhen hota hai
Ae malak rooh meri dheere se nikali jaye

Kya hi achha ho ke salman ka bharam rah jaye
Chadar-e-kafn na chehre se hatayi jaye

Nakshe nalain Nabi (saw) sar pe mere rakh dena
Yehi soorat hai ke soorat ye dikhayi jaye