Madeene Ki Hasrat | Hafiz Abdur Raziq
Madeene Ki Hasrat | Hafiz Abdur Raziq
Madeene ki hasrat pe qurban jaaun
Ye rahmat nahin hai to phir aur kya hai
Ke us sabz gumbad ka har dam tasawwur
Ibadat nahin hai to phir aur kya hai
Munawwar munawwar madeene ke din hain
Darakhshan darakhshan madeene ki raaten
Muattar muattar madeene ki basti
Ye jannat nahin hai to phir aur kya hai
Ke us sabz gumbad ka har dam tasawwur
Ibadat nahin hai to phir aur kya hai
Talab kar liya hamko jaali ke aage
Hamare muqaddar jo soye the jage
Nabi-e-muqarram ke ham asiyon par
Inayat nahin hai to phir aur kya hai
Ke us sabz gumbad ka har dam tasawwur
Ibadat nahin hai to phir aur kya hai
Jahan sar jhukate hain aakar farishte
Wahan ham gunahgar karte hain sajde
Shikasta dilon par khuda ki taraf se
Sakeenat nahin hai to phir aur kya hai
Ke us sabz gumbad ka har dam tasawwur
Ibadat nahin hai to phir aur kya hai