Wo Noor Banke Dilon Me | Unknown
Wo Noor Banke Dilon Me | Unknown
Wo noor banke dilon me samaye jate hain
Rasool paak do ‘alam me chhaye jate hain
Idhar jafaon ke kante bichhaye jate hain
Udhar Rasool-e-Khuda muskuraye jate hain
Maqam-e-rab ati shah-e-umam na poochh ae dil
Khyaal ke bhi qadam dagmagye jate hain
‘Amal charagh hain rahen nejat ke lekin
Charagh khud nahin jalte, jalaye jate hain
Khuda kare ke hamara bhi unme naam aaye
Jo khushnaseeb madine bulaye jate hain
Hussain (ra) ho ke Umar (ra) Bilal (ra) ho ke Ali (ra)
Nabi (saw) ke ishq me sab aazmaye jate hain
Wo noor banke dilon me samaye jate hain
Rasool paak do ‘alam me chhaye jate hain
Idhar jafaon ke kante bichhaye jate hain
Udhar Rasool-e-Khuda muskuraye jate hain