Phir Dikha De Haram | Abdul Basit Hassani
Phir Dikha De Haram | Abdul Basit Hassani
Allah Allah Allah Allah
Allah Allah Allah Allah
Nadim-o-Munzarab har musalman hai
Tera ghar bhi udas-o-pareshan hai
Phir dikha de haram ki wahi raunaqen
Warna barbadi ka poora saaman hai
Tauba tauba khudaya gunahgar hain
Ham siyahkar hain, ham khatakar hain
Karde fazl-o-karam, rakh de sabka bharam
Aap ghaffar hain, aap sattar hain
Nadim-o-Munzarab har musalman hai
Tera ghar bhi udas-o-pareshan hai
Phir dikha de haram ki wahi raunaqen
Warna barbadi ka poora saaman hai
Laakhon farzand tauheed mahsoor hain
Kufr ki chaal ke aage majboor hain
Unki chaalen unhin pe ulat de khuda
Ham to bebas hain lachar-o-maqboor hain
Nadim-o-Munzarab har musalman hai
Tera ghar bhi udas-o-pareshan hai
Phir dikha de haram ki wahi raunaqen
Warna barbadi ka poora saaman hai
Ab kabootar hai mahwe tawafe-e-haram
Ham pe bhi kar de ya rab tu apna karam
Door kar de yeh mushkil ae mushkil kusha
Uth pade soo-e-kaba hamare qadam
Nadim-o-Munzarab har musalman hai
Tera ghar bhi udas-o-pareshan hai
Phir dikha de haram ki wahi raunaqen
Warna barbadi ka poora saaman hai
Ho raha hai hamara roohaini ziyan
Phir se jaari karde tu wahi karwan
Chal paden tere ghar ki taraf qafile
Qaum muslim ka to hai wahi ashiyan
Nadim-o-Munzarab har musalman hai
Tera ghar bhi udas-o-pareshan hai
Phir dikha de haram ki wahi raunaqen
Warna barbadi ka poora saaman hai
Tere kaabe ke aangan mein kab jayenge
Ham tere qible ka saaya kab payenge
Jaake mekkah madina se anwaar ki
Kasa-e-dil mein khairat kab laayenge
Nadim-o-Munzarab har musalman hai
Tera ghar bhi udas-o-pareshan hai
Phir dikha de haram ki wahi raunaqen
Warna barbadi ka poora saaman hai
Ab yeh shaakh-e-tamanna bhi kar de hari
Tu hamen bhi gunahon se kar de bari
Jin ke baa’is kharabi hai aafaq mein
Chahe khushki ka tukda hai chahe tari
Nadim-o-Munzarab har musalman hai
Tera ghar bhi udas-o-pareshan hai
Phir dikha de haram ki wahi raunaqen
Warna barbadi ka poora saaman hai
Hai yeh qalb-e-haneef-e-hazeen ki sada
Door karde corone ki mohlik waba
Teri qudrat mein hai, tere lashkar sabhi
Apni qudrat ka ya rab karishma dikha
Nadim-o-Munzarab har musalman hai
Tera ghar bhi udas-o-pareshan hai
Phir dikha de haram ki wahi raunaqen
Warna barbadi ka poora saaman hai