Jis Daur Pe Nazan Thi Duniya | Fahad Shah

Jis Daur Pe Nazan Thi Duniya | Fahad Shah

Jis Daur Pe Nazan Thi Duniya | Fahad Shah
: :

Jis daur pe nazaan thi duniya
Ab ham wo zamana bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasaana bhool gaye

Muh dekh liya aayine me
Per dagh na dekhe seene me

Dil aisa lagaya jeene me
Marne ko musalmaan bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasaana bhool gaye

Agiyaar ka jaadoo chal bhi chuka
Hum ek tamasha ban bhi gaye

Duniya ka jagana yaad raha
Khud hosh me aana bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasaana bhool gaye

Wo zikr-e-haseen rehmat ka ameen,
Kahte hain jise Quran-e-Mubeen,

Duniya k liye naye naghme seekhe
Allah ka tarana bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasaana bhool gaye

Anjam-e-Azaadi kya kahiye
Barbadi hi barbadi hai

Jo dars shah-e-batha ne diya
Duniya ko padhana bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasaana bhool gaye

Jis daur pe nazaan thi duniya
Ab ham wo zamana bhool gaye

Duniya ka ghar abaad kiya
uqba ka magar barbad kiya

Mushkil me khuda ko yaad kiya
Mushkil hui asaan bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasaana bhool gaye

Azaan to ab bhi hoti hai
Masjid ki fiza me ae anwar

Jis Zarb se dil hil jate the
Wo Zarb lagana bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasaana bhool gaye

Jis daur pe nazaan thi duniya
Ab ham wo zamana bhool gaye

Duniya ki kahani yaad rahi
Aur apna fasaana bhool gaye