Mohammad Ki Ghulami | Khalid Mahmood
Mohammad Ki Ghulami | Khalid Mahmood
Ae Rasool-e-ameen (saw) khatm-al-mursalin
Muhammad ki ghulami me basar ho zindagi meri
Ke ho jaye jo poori zindagi ki har kami meri
Meri saanson me ho aesi madeene ki mahek har dam
Kahin bhi jaaun main lekin na ho ek pal ko bhi ye kam
Jo is nazre karam ki wo jhalak ajaye jeevan me
To bas ek roshni hi roshni chhaa jaye jeevan me
Ae Rasool-e-ameen (saw) khatm-al-mursalin
Teri chaukhat se na jaunga main daman liye khali
Mujhe to rokti hai har ghadi rauze ki ye jali
Muhammad ki ghulami me basar ho zindagi meri
Ke ho jaye jo poori zindagi ki har kami meri
Ae Rasool-e-ameen (saw) khatm-al-mursalin
Tumhari sunnaton ko main ada karta rahun aise
Mukammal zindagi hoti nahin inke siwa jaise
Muhammad ki ghulami me basar ho zindagi meri
Ke ho jaye jo puri zindagi ki har kami meri
Ae Rasool-e-ameen (saw) khatm-al-mursalin
Fizaye gumbad-e-khizran me subh-o-sham rahna ho
Yehin pe marna mera ho yahin pe jeena mera ho
Muhammad ki ghulami me basar ho zindagi meri
Ke ho jaye jo poori zindagi ki har kami meri
Meri saanson me ho aesi madeene ki mahek har dam
Kahin bhi jaaun main lekin na ho ek pal ko bhi ye kam
Jo is nazren karam ki wo jhalak aa jaye jeevan me