Meetha Meetha Hai Mere Mohammad (saw) Ka Naam | Abdul Rauf Rafi

Meetha meetha hai mere Mohammad (saw) ka naam
Un pe lakhon caroron darood-o-salam
Jisne aake sanwara hai darain ko
Jiski rahmat ne dhanpa hai konain ko
Jiske dam se hi ye raunaqen hain tamam
Un pe lakhon caroron darood-o-salam
Meetha meetha hai mere Mohammad (saw) ka naam
Meetha meetha hai mere Mohammad (saw) ka naam
La makan ke bane hain wo hi to makin
Jinki nalain ko choome arsh-e-bareen
Jo khuda se huye arsh par ham kalam
Un pe lakhon caroron darood-o-salam
Meetha meetha hai mere Mohammad (saw) ka naam
Meetha meetha hai mere Mohammad (saw) ka naam
Waqt Laye khuda jayen darbar pe
Aur khade hokar roza-e-sarkar par
Pesh milkar karen ham darood-o-salam
Meetha meetha hai mere Mohammad (saw) ka naam
Ek khuda ki raza jiska maqsood tha
Zulm sahta raha shukr karta raha
Jiske sabr-o-tahammul ke charche hain aam
Un pe lakhon caroron darood-o-salam
Meetha meetha hai mere Mohammad (saw) ka naam
Meetha meetha hai mere Mohammad (saw) ka naam
Shah-e-konain wo rooh-e-darain wo
Fakhr-e-Hasnain wo ghaus-e-saqnain wo
Jinke dar ka hai hafiz bhi adna ghulam