Qadam Hai Bilal Aaj | Hafiz Abu Bakr

Qadam Hai Bilal Aaj | Hafiz Abu Bakr

Qadam Hai Bilal Aaj | Hafiz Abu Bakr
: :

Qadam hai bilal (r.a) aaj chalne se aari
Lo ab alwida alwida hai hamari
Ye lo mera quran ye lo meri sunnat
Ye dikhlayegi tumko ab raah-e-jannat

Pade jo museebat sabar tum uthana
Magar dil kisi ka na hargiz dukhana
Yehi yaad rakhna nasihat hamari
Lo ab alwida alwida hai hamari

Agar wahan na hoon to kausar par milunga
Main ummat ko pyasi jane na dunga
Bujhaunga tishna labhi ki tumhari
Lo ab alwida alwida hai hamari

Agar wahan na hoon to meezan par milunga
Main badiyon ke palde ko jhukne na doonga
Jhukaunga palda neki ka tumhari
Lo ab alwida alwida hai hamari

Tumhe pulsirat pe khud aakar milunga
Mai ummat ko us pul se girne na dunga
Karunga wahan main nigehdari tumhari
Lo ab alwida alwida hai hamari

Agar wahan na hoon to arsh par milunga
Main ro ro ke haq se dua ye karunga
Karunga wahan ahozari tumhari
Lo ab alwida alwida hai hamari