Alwida Asifa | Imran Pratapgarhi
Alwida Asifa | Imran Pratapgarhi
Ek chhoti si masoom gudiya thi main
Apne baba ki khushiyon ki pudiya thi main
Hindu muslim se gharaz kuchh na thi
Jurm itna tha masoom bitiya thi main
Noch kar zalimon ne mujhe
Kar diya is jahan wida
Alwida Alwida Alwida Alwida
Alwida Alwida Alwida Alwida
Ro ke kehti hai ye Asifa
Alwida Alwida Alwida Alwida
Cheekh kar keh rahi Nirbhaya
Alwida Alwida Alwida Alwida
Aur kuchh kahne layaq nahin rah gaya
Dard ab sahne layaq nahin rah gaya
Ab darindon ko Allah ka dar nahin
Ye jahan rahne layaq nahin rah gaya
Rooh masoom si cheekh kar
De rahi asman se sada
Alwida Alwida Alwida Alwida
Alwida Alwida Alwida Alwida
Ro ke kehti hai ye Asifa
Alwida Alwida Alwida Alwida
Phir se beti na barbad hoti koi
Baat aisi unhen yaad hoti koi
Wo samajhte phir aulad ke dard ko
Kaash unke bhi aulad hoti koi
Desh ki betiyan lut rahin
Chup hain sab pattharon ke khuda
Alwida Alwida Alwida Alwida
Alwida Alwida Alwida Alwida
Ro ke kehti hai ye Asifa
Alwida Alwida Alwida Alwida
Soch wahshi khyalaat nange liye
Aur zehnon me hain sirf dange liye
Ab balatkariyon ke samarthan me bhi
Log nikle hain dekho tirange liye
Qatilon ki adaaon pe ye bhakt
Sab ho gaye hain fida
Alwida Alwida Alwida Alwida
Alwida Alwida Alwida Alwida
Phir kisi aur aurat ki izzat lute
Amn ki aur mohabbat ki izzat lute
Zalimon ki hukumat badal dijiye
Isse pahle ke bharat ki izzat lute
Kaise batlaaun kis dard me
Jism se jaan hui hai juda
Alwida Alwida Alwida Alwida
Alwida Alwida Alwida Alwida
Ro ke kehti hai ye Asifa
Cheekh kar keh rahi Nirbaya
Alwida Alwida Alwida Alwida
Alwida Alwida Alwida Alwida