Mashiyat | Shaz Khan
Mashiyat | Shaz Khan
Sab se pahle mashiyat ke anwaar se
Naksh-e-rooh-e-Mohammad (saw) banaya gaya
Phir usi naqsh se mang kar roshni
Bazm kon-o-makan ko sajaya gaya
Wo Mohammad bhi Ahmed bhi Mahmood bhi
Husn mutlaq ka shahid bhi mashhood bhi
Ilm-o-hikmat me wo ghair mahdood bhi
Zahiran umniyon me uthaya gaya
Sab se pahle mashiyat ke anwaar se
Naksh-e-rooh-e-Mohammad (saw) banaya gaya
Phir usi naqsh se mang kar roshni
Bazm kon-o-makan ko sajaya gaya
Unki shafqat hai behad aur beinteha
Unki rehmat takhaiyyul se bhi mawara
Jo bhi alam jahan me banaya gaya
Unki rahmat se unko basaya gaya
Sab se pahle mashiyat ke anwaar se
Naksh-e-rooh-e-Mohammad (saw) banaya gaya
Phir usi naqsh se mang kar roshni
Bazm kon-o-makan ko sajaya gaya
Hashr ka gham mujhe kyun ho nanotwi
Mere aaqa hain wo mere maula hain wo
Jinke daman me jannat basayi gayi
Jinke hathon se kausar lutaya gaya
Sab se pahle mashiyat ke anwaar se
Naksh-e-rooh-e-Mohammad (saw) banaya gaya
Phir usi naqsh se mang kar roshni
Bazm kon-o-makan ko sajaya gaya