Dil Mein Hai Bas | Hafiz Salahuddin Al-Maroofi

: :

Dil mein hai bas khwahishen deedar-e-mahboob-e-khuda
Kash dekhun jalwa-e-rukhsar-e-mehboob-e-khuda

Farsh se arsh-e-bari tak roshni ka silsila
Zufishan hai jalwa-e-anwar-e-mahboob-e-khuda

Kash dekhun jalwa-e-rukhsar-e-mehboob-e-khuda
Dil mein hai bas khwahishen deedar-e-mahboob-e-khuda

Hai Muhammad (saw) waqif-e-raz-e-khuda-e-lamyazal
Lamyazal hai waqif-e-israr-e-mahboob-e-khuda

Kash dekhun jalwa-e-rukhsar-e-mehboob-e-khuda
Dil mein hai bas khwahishen deedar-e-mahboob-e-khuda

Saamne rakh kar sanwaro zindagi ki uljhanen
Hai sarapa aayina kirdar-e-mahboob-khuda

Kash dekhun jalwa-e-rukhsar-e-mehboob-e-khuda
Dil mein hai bas khwahishen deedar-e-mahboob-e-khuda

Markaz-e-aman-o-sukoon aur rahten qalb-o-nazar
Gosha-e-firdos hai darbar-e-mahboob-e-khuda

Kash dekhun jalwa-e-rukhsar-e-mehboob-e-khuda
Dil mein hai bas khwahishen deedar-e-mahboob-e-khuda

Kyun na aate arsh se pal bhar me aaqa lout kar
Barq se hai teztar raftar-e-mahboob-e-khuda

Kash dekhun jalwa-e-rukhsar-e-mehboob-e-khuda
Dil mein hai bas khwahishen deedar-e-mahboob-e-khuda

Us ghari hoti hain paiham rahten baren nuzool
Jis ghari karte hai ham azkar-e-mahboob-e-khuda

Kash dekhun jalwa-e-rukhsar-e-mehboob-e-khuda
Dil mein hai bas khwahishen deedar-e-mahboob-e-khuda

Nam nami jab hai aftab arsh-e-azam par raqam
Sath rab ke kyun na ho iqrar-e-mahboob-e-khuda