Kabhi Mayoos Mat Hona | कभी मायूस मत होना* अँधेरा कितना

Kabhi Mayoos Mat Hona | Don't Be Sad, A Beautiful Lyrical Video by Junaid Ur Rehman. कभी मायूस मत होना* अँधेरा कितना...

|| Kabhi mayoos mat hona ||
Don't Be Sad By Junaid Ur Rehman

Kabhi Mayoos mat hona

ummidon ke samundar main
talaatum aate rehte hain
safeene doobte bhi hain
safar Lekin nahi rukta
musafir toot jaate hain
Magar maallah nahi Thakta
safar teh hoke rehta hai

Kabhi maoous mat hona

Andhera kitna gehra ho
kabhi bhi ho Nahi sakta

Khuda haazir hai nàazir bhi
Khuda zaahir hai manzar bhi
wahi hai haal se waaqif
wahi seeno ke andar bhi
musibat ke andhero mein
kabhi tum maang kar Dekho
tumhari Aankh ke aansu
yunhi dhalne nahi dega
tumhari aas ki gaagar
kabhi girne nahi dega
hawa Kitni mukhaalif ho
tumhe murne nahi dega

Kabhi mayoos mat Hona

Wahan insaf ki chakki
zara dhire se chlti hai
magar chakki ke paato mein
bahot baarik pistaa hai
tumhare ek ka badla
wahan 70 se zyada hai

niyyat tulti hai palro mein
aamal naape nahi jaate
wahan jo haath uthte hain
kabhi khaali nahi aate
zara si der lagti hai
magar wo deke rehta hai

darida damano ko wo
rafu karta hai rehmat se
agar kashkol toota ho
to wo bharta hai nemaat se

Jab uske rehem ka sagar
chalak ke josh khata hai
qehar dhata hua suraj
yaka yak kaanp jata hai

hawa uthti hai lehra kar
ghataa sajde mein girti hai
jahan dharti tarasti hai
wahin rehmat barsti hai

taraste reg zaaro pr
abr beh k hi rehta hai
nazar wo uth k rehti hai
karam hoke hi rehta hai
ummido ka chamkta din
amar ho k hi rehta hai

kabhi mayoos mat hona