Utha ke Zarre Ko | Najam Sheraz

Utha ke Zarre Ko | Najam Sheraz

Utha ke Zarre Ko | Najam Sheraz
: :

Utha ke zarre ko aftab banane wale
Apne bando pe rahmat lutane wale

Kyun na karun sajda ke parwardigar hai tu
Apne bando ke aibon pe parda girane wale

Utha ke zarre ko aftab banane wale
Apne bando pe rahmat lutane wale

Kaise modengi hawayen rukh yeh kashti ka
Nuh (as) ki kashti ko bhi paar lagane wale

Utha ke zarre ko aftab banane wale
Apne bando pe rahmat lutane wale

Main badi shaan se jeeta hun ke rahman hai tu
Kabhi mayus nahin karta ae sath nibhane wale

Utha ke zarre ko aftab banane wale
Apne bando pe rahmat lutane wale

Kare koshish hazar dushman bhi
Mit gaye hain hamesha tera naam mitane wale

Utha ke zarre ko aftab banane wale
Apne bando pe rahmat lutane wale

Main gunahgar tera aur kya zikr karun
Zameen asmaan bhi hain teri tasbih karne wale

Utha ke zarre ko aftab banane wale
Apne bando pe rahmat lutane wale