Karam Mangta Hoon | Owais Raza Qadri
Karam Mangta Hoon | Owais Raza Qadri
Karam mangta hoon ata mangta hoon
Ilahi main tujhse dua mangta hoon
Ata kar tu shan-e-kareemi ka sadqah
Ata kar de shan-e-raheemi ka sadqah
Na mangooga tujh se to mangooga kis se
Tera hoon main tujh se dua mangta hoon
Karam mangta hoon ata mangta hoon
Ilahi main tujhse dua mangta hoon
Jo muflis hain unko tu daulat ata kar
Jo beemar hain unko sehat ata kar
Mareezon ki khatir shifa mangta hoon
ilahi main tujh se dua mangta hoon
Karam mangta hoon ata mangta hoon
Ilahi main tujhse dua mangta hoon
Meri jo bahan bhi kuaanri hain maula
Use nek rishta ata kar de maula
Main sadqah-e-zohra sada mangta hoon
Ilahi main tujh se dua mangta hoon
Karam mangta hoon ata mangta hoon
Ilahi main tujhse dua mangta hoon
Jo nadar hain kuchh nahin jinke palle
Unhe bhi dikha de haram ke tu jalwe
Huzoori ho sab ki dua mangta hoon
Ilahi main tujh se dua mangta hoon
Karam mangta hoon ata mangta hoon
Ilahi main tujhse dua mangta hoon
Watan ke bhadhakte sharare bujha de
Ise phir akhuwat ka gulshan bana de
Main amn-o-amaan ki rida mangta hoon
Ilahi main tujh se dua mangta
Karam mangta hoon ata mangta hoon
Ilahi main tujhse dua mangta hoon
Ilahi tujhe wasta panjtan ka
Ho shadab guncha dilon ke chaman ka
Main sadqa-e-ghous-ul-waran mangta hoon
Ilahi main tujh se dua mangta
Karam mangta hoon ata mangta hoon
Ilahi main tujhse dua mangta hoon