Apni Khilqat Pe Kar Ghour | Anas Younus

Apni Khilqat Pe Kar Ghour | Anas Younus

Apni Khilqat Pe Kar Ghour | Anas Younus
: :

Apni khilqat pe kar ghaur insan zara
Is haqeeqat se kya tu nahi aashna,
Nannhe nannhe se the jab tere dast-o-paa,
Maa ke seene se lag kar tha soya hua

Kitni kamzor laghar si jaan thi teri
Kaam karti thi tere jo maa thi teri
Doodh do saal usne pilaya tujhe
Sardi garmi se usne bachaya tujhe

Doodh dena tujhe bhoolti wo agar
Roke tu maa ko deta tha uski khabar
Tu jo roya to maa saath royi tere
Pyar ke jo nashe me thi khoyi tere

Apna sukh chain tujh par lutati rahi
Jaag kar khud tujhe wo sulati rahi
Teri janib rahe taak uski nazar
Ek hi karwat pe wo letti raat bhar

Allah Allah ki lori wo gaati hui
Haule haule kamar thapthapati hui
Haath teri kamar par dhare so gayi
Tujh se pahale hi bedar phir ho gayi

Tune halki si oon aanh ki thi abhi
Chup karane wo tujhko tadap kar uthi
Gir na jaye tu karwat badalte hue
Takiye rakhti thi do dayen bayen tere

Tu jo sardi me bistar bhigota kabhi
Ho ke bechain thandhak se rota kabhi
God me leke phir wo sulati tujhe
Garam bistar pe apne litati tujhe

Tujh ko bimari bachpan me jab bhi lagi
To wo tujh ko nahi thi use thi lagi
Maa se seekha tha jo bolne lag gaya
Phir tu chalne laga daudne lag gaya

Jab tak school se ghar tu aata na tha
Maa ka bechain dil chain paata na tha
Khel kar sham ko jab tu aata na gar
Ghar ke dar per hi rahti thi uski nazar

Baap ne apna khun-e-jigar bech kar
Kharch tujh per kiya apna ghar bech kar
Raat din karke mehnat padhaya tujhe
Kaat kar pet apna khilaya tujhe

Saath maa ki dua thi tere dam-ba-dam
Phir jawani ke zeene pe rakha qadam
taan kar seena chalta tha tu is tarah
Phaad dalega tu ye zameen jis tarah

Apne quwwat pe tujh ko bada naaz tha
Jaise chidiya thi sab our tu shahbaz tha
Maan apni jawani pe karne laga
Ek pari shaql ladki pe marne laga

Gori rangat thi zulfen thi kaali ghani
Wo pari shaql phir teri dulhan bani
Uski chahat me tu ghum hua is qadar
Li na phir apne maa baap ki kuchh khabar

Hotalon par tu khane khilane laga
Roz shopping pe le le ke jaane laga
Baap ne jo bacha ker tha rakha hua
Tune ayyashiyon me diya sab gawa

Aaj jab ho nahi fauri lachar hain
Tujh se do rotiyon ke talabgar hain
Jinke hisse ki khata raha botiyan
Tujh ko mushkil hai aaj unki do rotiyan

Tera imaan aisa bigadne laga
Waqt be waqt tu unse ladne laga
Ek din maa ne itna kaha ae pisar,
Yun budhape me mat pher hamse nazar

Ab tere bin koi bhi hamara nahi
juz tere ab koi bhi sahara nahi
Kaise tune palat ker ye maa se kaha
Mujh me bilkul nahi hausla ab raha

Meri nazron se ab jald ho jaao gum
Jaao bahar kahin jaa ke mar jaao tum
Teri is baat se wo pareshan hue
Jalke rakh aaj unke sab arman hue

Din dikhaye ye aqlon ki aulad ne
Kaam kuchh na kiya unki fariyad ne
Padke paaon me bole kahan jaayenge
Ham jahan jaayenge thokare khayenge

Tujh pe rob apni begham tha is qadar
Unki fariyad tujh per gayi be-asar
Rote tote wo rukhsat jo hone lage
Ghar ke diwar-o-dar saath rone lage

Sun ke fariyad unki gaya arsh hil
Raham aaya na tujhko magar sangdil,
Ki khuda se unhone jo ro ro dua
Ek khuda darse ne asra de diya

Gham ke badal jo umre the wo chhat gaye
Zindagi ke jo do char din kat gaye
Jee liya jis qadar unki qismat hui
Baap bhi chal diya maa bhi rukhsat hui

Marte marte tujhe yaad karte rahe
Dam wo teri muhabbat ka bharte rahe
Tere haq me duayen wo karte rahe
Din teri zindagi ke guzarte rahe

Ab jawani ka qissa purana hua
Ek haqeeqat thi jo wo fasana hua
Ab zara haal apne pe kar tu nazar
Kis qadar hai budhape ka tujh pe asar

Hilna julna bhi ab tujh ko dushwar hai
Teri khidmat se har shakhs bezar hai
Baith kar ab dukh koi batata nahi
Seedhe muh koi tujhe bulata nahi

Teri biwi ki halat bhi aisi hi hai
Tujh se behter nahi teri jaisi hi hai
dono makhlu jo mohtaj jo majboor ho
Khud kamaane se khane se mazur ho

Apni taqdeer per ab jo rote ho tum
Haar ashqon ke baithe pirote ho tum
Kab ye socha tha ke ayenge din kade
Naukaron ke quarter me ho ab pade

Apne dhandhon se bacchhon ko fursat nahi
Aaj unko tumhari zaroorat nahi
Walden ab tumhen yaad aane lage
Unke chehre nigahon me chhane lage

Laakh ab tum karo baithe aah-o-fugaan
Baap ayega na uth kar na ayegi maa
Ro rahe ho khataon pe apni jo ab
Maut karne lage ho khuda se talab,

Maut bhi to magar apne bas me nahi
Chain kaise mile dastaras me nahi
Zeest tumko abhi aur tadpayegi
Pesh roz ek museebat nayi ayegi

Tune allah ka farman bhulaya tha kyun
Apne maa baap ka dil dukhaya tha kyun
Jinke bare me hai unko uff mat kaho
Samne unke tum aajizi se raho

Kyun zaeefi me unko pareshan kiya
Kyun faramosh yun hukm-e-quran kiya
Pahle duniya me bhugto ab uski saza
Phir jahannum me phekega tumko khuda

Haan ye mumkin hai tauba khuda se karo
Unke haq me dua gidgida ke karo
Sadqa khairat do, nafil bhi kuchh padho
Phir sawab apne maa baap ko bakhsh do

Razi honge jo wo razi hoga khuda
Kyunki unki raza me hai uski raza
Sach hai maa baap se jo mohabbat kare
Unke ahkaam ki jo ataat kare

Karke khidmat jo maa baap ki le dua
Lega jannat me Allah se uska sila
Rab ki rahmat tu salman jo chahe agar
Lag ja khidmat me unki tu sham-o-sehar

Rab ki rahmat tu anas jo chahe agar
Lag ja khidmat me unki tu sham-o-sehar

Apni khilqat pe kar ghaur insan zara
Is haqeeqat se kya tu nahi aashna,
Nannhe nannhe se the jab tere dast-o-paa,
Maa ke seene se lag kar tha soya hua