Main Burma ka Musalman Hun | Fahad Shah

Main Burma ka Musalman Hun | Fahad Shah

Main Burma ka Musalman Hun | Fahad Shah
: :

Main bebas ghamzada beasra
Majboor insan hun
Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun

Mujhe jo zakhm lagte hain
Mujhe bhi dard hota hai
Musalmanan-e-alam ko batao
Main pareshan hoon

Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun

Mera ghar-baar jalkar khak
Hote sabne dekha hai
Main dukhiyara bhi
Fard-e-ummate-mahboob-e-yazda hun

Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun

Mujhe padh kar koi kyun apni
Khusiyon me khalal dale
Kitab-e-zindagi ka muft
Sardilsooz unwan hun

Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun

Meri badhaali pe duniya ne
Khamoshi ki thani hai
Ye duniya fayda chahe main to
Nuksaan hi nuksaan hun

Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun

Meri khatir jahan-e-rang-boo
Ko kaun chhorega
Jahan ummeed ka talib main
Ek tareek imkaan hun

Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun

Meri fariyad sunkar kiske
Dil me raham ayega
Na jaami hoon na romi hoon
Na main tabrez dauran hoon

Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun

Meri khatir faqat do char
Aankhon me nami hogi
Main zer-e-asmaan zakhmi badan
Ek pal ka mehman hun

Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun

Tumhe dharnon se jalson se
Jaluson se nahin fursat
Main andhon ke shaher me
Ayena lakar pasheman hun

Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun

Musalman buzdili ko maslehat
Kahne ke mujrim hain
Musalman hoke main hud hud
Musalmano pe hairan hun

Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun

Main bebas ghamzada be-asra
Majboor insan hun
Main burma ka musalman hun
Main burma ka musalman hun