Urooj Hi Urooj Hai | Hafiz Abu Bakr
Urooj Hi Urooj Hai | Hafiz Abu Bakr
Urooj hi urooj hai kamal hi kamal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Zameen se aasman tak makaan se lamakaan tak
Wo roshni hi roshni jamal hi jamal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Urooj hi urooj hai kamal hi kamal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Bashar bashar ke waste nazar nazar ke waste
Kabhi haseen jawab hai kabhi hasin sawal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Urooj hi urooj hai kamal hi kamal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Likhun main uska haal kya main uski dun misaal kya
Na wo kisi ki soch hai na wo koi khyaal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Urooj hi urooj hai kamal hi kamal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Na ibtada na inteha na qurb hai na fasla
Na uska roz-o-shab koi na uska maah-o-saal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Urooj hi urooj hai kamal hi kamal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Har ek maqaam par mile jidhar kaho udhar mile
Junoob me junoob hai shumal me shumal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Urooj hi urooj hai kamal hi kamal hai
Khudaye zuljalal hi khudaye zuljalal hai
Wo zaat hai qadeem bhi rauf bhi raheem bhi
Wo zaat bemisal thi wo zaat bemisal hai