Ujala Tu Mere Ghar Ka | Farhan Ali Qadri
Ujala Tu Mere Ghar Ka | Farhan Ali Qadri
Ujala tu mere ghar ka haleema lori deti hai
Mere noor-e-nazar soja haleema lori deti hai
Chamak chanda se hai zyada mahak phoolon se hai zyada
Kashish sooraj hai zyada damak taron se hai zyada
Koi tujh sa kahan dooja haleema lori deti hai
Ujala tu mere ghar ka haleema lori deti hai
Rukh-e-anwar pe aaqa ke dil-o-jaan se fida hokar
Kabhi bosa le hathon par kabhi bosa le chehre par
Banaye takiya baahon ka haleema lori deti hai
Ujala tu mere ghar ka haleema lori deti hai
Adab se paas bithlakar haleema pyar karti hai
Gale se khoob chimta kar haleema pyar karti hai
Mere lakhte jigar soja haleema lori deti hai
Ujala tu mere ghar ka haleema lori deti hai
Amanat Amna (as) ki hai haleema sadiya ke ghar
Wo jiske husn ke sadqe hua alam ujala tar
Wo mere ghar ka rakhwala haleema lori deti hai
Ujala tu mere ghar ka haleema lori deti hai
Hawazan ke qabeele khushnaseebi hai teri wallah
Hua hai Amna ka laal tujh me jalwagar sona
Zamane bhar me hai shora haleema lori deti hai
Ujala tu mere ghar ka haleema lori deti hai
Fazayen geet gati hai hawayen daff bajati hain
Zameen ki musarraten dekho khushi se gungunati hai
Faza-e-dil pe hai naghmah haleema lori dekon hai
Ujala tu mere ghar ka haleema lori deti hai
Haleema sadiya islam ki aisi hui shaidan
Siwa uske zamane me dikhai kuchh nahin deta
Ujagar choom kar chehra haleema lori deti hai
Ujala tu mere ghar ka haleema lori deti hai