Zulm Phir Zulm Hai | Mix Vocalist
Zulm Phir Zulm Hai | Mix Vocalist
Zulm phir zulm hai isko mohlat na do
Jabr ki raat ka kuchh bharosa nahin
Daur zulmat ka kuchh bharosa nahin
Jabr ki raat ka kuchh bharosa nahin
Kab na jane barasne lage mauj-e-khoon
Chashm-e-halat ka kuchh barasne nahin
Zulm phir zulm hai isko mohlat na do
Jabr ki raat ka kuchh bharosa nahin
Kyun ke malik ho be dagh kirdar ke
Kyun ke hasil hai tumko yaqeen-e-sahar
Kyun ke ‘Adil bhi ho aur siddiq bhi
Tum se tabinda hai waqt ki rahguzar
Zulm phir zulm hai isko mohlat na do
Jabr ki raat ka kuchh bharosa nahin
Zulm ho jis taraf bhi jahan bhi magar
Hai ye lazim ke isko mitaoge tum
Shamm-e-isar ki lau ubharoge tum
Apne kirdar ko azmaaoge tum
Zulm phir zulm hai isko mohlat na do
Jabr ki raat ka kuchh bharosa nahin
Koi bedi na ho adl ke paaon me
Koi mazloom bhi be-sahara na ho
Charm par chand ka raks jaari rahe
Raah me shab me koi sharara na ho
Zulm phir zulm hai isko mohlat na do
Jabr ki raat ka kuchh bharosa nahin
To mere sabshikan sathiyon ghaziyon
Aadmiyat ki qandeel bujhne na do
Naam-e-haq se lahu ko farozan rakho
Apne jazbat ko sard hone na do
Zulm phir zulm hai isko mohlat na do
Jabr ki raat ka kuchh bharosa nahin
Jabr ki raat chha jayegi har taraf
Aur lut jayegi subha ki aabru
Kariya kariya jalega charagh-e-hawis
Phail jayegi baad-e-sitam ku ba ku
Isliye hamsukhan sathiyon ghaziyon
Zulm phir zulm hai isko mohlat na do
Jabr ki raat ka kuchh bharosa nahin