Ajab Hai Kaif Ajab Hai Khumar | Qari Waheed Zafar Qasmi

Ajab Hai Kaif Ajab Hai Khumar | Qari Waheed Zafar Qasmi

Ajab Hai Kaif Ajab Hai Khumar | Qari Waheed Zafar Qasmi
: :

Ajab hai kaif ajab hai khumar aankhon me
Basa hua hai Nabi (saw) ka dayar aankhon me

Jo aayi yaden madina to ansuon ki tarah
Jo paa liya hai use beqarar aankhon me

Khade hue hain tere dar pe tere deewane
Wafa ki nazr liye ashk baar aankhon me

Qasam khuda ki madina jinhonne dekha hai
Main dhoondh lunga wo ankhen hazar aankhon me

Tasawwurat me taiba hai roo baroo shayar
Rachi hui hai mujassam bahaar aankhon me

Ajab hai kaif ajab hai khumar aankhon me
Basa hua hai Nabi (saw) ka dayar aankhon me