Hasbi Rabbi | Nisar Ahmed Marfani

Hasbi Rabbi | Nisar Ahmed Marfani

Hasbi Rabbi | Nisar Ahmed Marfani
: :

Tere sadqe me Aaqa
Sare jahan ko deen mila
Be deenon ne kalmah padha
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Mafi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad (saw) Sallallah
La ilaha illallah

Sim-e-Nabi Abu Jahl gaya
Aaqa se usne ye kaha
Gar ho Nabi batlao zara
Meri mutthi me hai kya

Aaqa ka farman hua
Aur fazl-e-Rahman hua
Mutthi se patthar bola
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Mafi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah

Apni bahan se bole Umar (ra)
Ye to bata kya karti thi
Mere aane se pahle kya
Chupke chupke padhti thi

Bahan ne jab quran padha
Sun ke kalam-e-paak khuda
Dil ye Umar ka bol utha
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah

Wo jo Bilal e Habshi hain
Sarwar-e-deen ka pyara hai
Duniya ke har aashiq ki
Ankhon ka wo tara hai

Zulm hue kitne unpar
Seene par rakha patthar
Lab pe phir bhi jari tha
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Mafi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah

Duniya ke insan sabhi
Shirk-o-bid’at karte then
Rab ke the bande phir bhi
But ke ‘ibadat karte then

Butkhane hain tharraye
Mere Nabi hain jab aye
Kahne lagi makhlooq-e-khuda
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Mafi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah

Gulshan kalma padhten hain
Chidiyan kalma padhtin hain
Duniya ki makhlooq sabhi
Zikr khuda ka karti hai

Kehte sabhi hain jinn-o-bashar
Kehta shajar hai kehata hajar
Kehta hai patta patta
La ilaha illallah

Hasbi rabbi jallallah
Mafi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad Sallallah
La ilaha illallah