Koi Aaye Koi Jaye | Hafiz Muhammad Tahir Qadri
Koi Aaye Koi Jaye | Hafiz Muhammad Tahir Qadri
![Koi Aaye Koi Jaye | Hafiz Muhammad Tahir Qadri](https://akhbarurdu.com/naat/uploads/images/2021/04/image_600x460_60782c60169f4.jpg)
Zindagi maut ka nishana hai
Sabko ek di yahan se jana hai
Koi aaye koi jaye, ye tamasha kya hai
Kuchh samajh me nahin aata ke ye duniya kya hai
Aane wale to chale jate hain wapas lekin
Ye azal hi se sab ne dekha hai
Uski hikmat ka ek karishma hai
Marne wala kabhi nahin aata
Jane qudrat ka kya mu’amma hai
Aane wale to chale jate hain
Wapas lekin jana wale nahin aate
Ye fasana kya hai
Tere ahbab tere dost tere ghar wale
Baad marne ke tere ahbab kaam ayenge kya
Zindagi bhar ki mohabbat ek mutthi khak hai
Tere ahbab tere dost tere ghar wale
Tujh ko mitti me mila denge
Samajhta kya hai
Dafn karke ye tasalli bhi diye jate hain
Rafta rafta sabhi aa jayenge darta kya hai
Do ghadi royenge ahbab tere ae Kamil
Ayena dekh kar har baat hua karti hai
Aamne samne din raat hua karti hai
Baad marne ke nahin qabr pe nahi aata koi
Jeete ji sab se mulaqat hua karti hai
Do ghadi royenge ahbab tere ae Kamil
Phir hamesha ko bhula denge
Samajhta kya hai
Koi aaye koi jaye ye tamasha kya hai
Zindagi naam rakh diya kisne
Maut ka intezar hai duniya
Ek lamhe me idhar se udhar
Char din ki bahaar hai duniya