Jashn Ka Manzar Tha | Hafiz Ahmed Raza Qadri
Jashn Ka Manzar Tha | Hafiz Ahmed Raza Qadri
Subhana lladhi asra bi- abdihi
Laylan mina l-masjidi l-harami
Ila l-masjidi l- aqsa lladhi barakana
Huwlahu li-nuriyahu min ayatina
Innahu huwa s-sami u l-basir
Ya Nabi ya Nabi ya Nabi ya Nabi (saw)
Ya Nabi ya Nabi ya Nabi ya Nabi (saw)
Jashn ka manzar tha Mahaul suhana tha
Arsh na kyun sajdah Sarkar me lana tha
Farsh pe naghme then aaqa ki risalat ke
Arsh pe charche then sarkar ki azmat ke
Hooron ke lab par khushiyon ka tarana tha
Arsh na kyun sajdah sarakar me lana tha
Ya Nabi ya Nabi ya Nabi ya Nabi(saw)
Jashn ka manzar jashn ka manzar tha
Roop badal jaye, raat sanwar jaye
Hukm khuda ka hua ke waqt thahar jaye
Ruk gaya fauran jo gardish me zamana tha
Arsh na kyun sajdah sarakar me lana tha
jashn ka manzar tha Mahaul suhana tha
Arsh na kyun sajdah Sarkar me lana tha
Masjid-e-aqsa me kya manzar the pyare
Beech qataron me hazir then nabi sare
Aage musalle par sultan-e-zamana tha
Arsh na kyun sajdah Sarkar me lana tha
Arsh saja sarkar ke liye, Arsh saja sarkar ke liye
Manzil-e-sidra par jibrail ne arz kiya
Shah-e-do alam main aage nahin chal sakta
Meri had yehi thi yehi mera thikana tha
Arsh na kyun sajdah Sarkar me lana tha
Jashn ka manzar tha Mahaul suhana tha
Arsh na kyun sajdah Sarkar me lana tha
Ek waseela hai rab se mulaqaton ka
Aap ko haq de diya tohfa jo namazon ka
Asl me ummat ki bakhshish ka bahana tha
Arsh na kyun sajdah sarakar me lana tha
Jashn ka manzar tha Mahaul suhana tha
Arsh na kyun sajdah Sarkar me lana tha
Noor me farooqi dooba ye jahan hoga
Waqt wo kya hoga kaisa wo sama hoga
Masnad-e-arsh pe jab Hasnain (ra) ka nana tha
Arsh na kyun sajdah Sarkar me lana tha
Jashn ka manzar tha Mahaul suhana tha
Arsh na kyun sajdah Sarkar me lana tha