Saj Gaye Aasman | Hafiz Ahmed Raza Qadri

Saj Gaye Aasman | Hafiz Ahmed Raza Qadri

Saj Gaye Aasman | Hafiz Ahmed Raza Qadri
: :

Meraj ki shab mahboob ko jab rab ne bulaya
Saj gaye aasman, Saj gaye aasman

Arsh talak tha phaila ujala
Wo noor chhaya
Saj gaye aasman, Saj gaye aasman

Noorani shab aayi chandni thi chhayi
Makke se Aqsa tak Aqsa se Sidra tak
Jibril ke sath soo-e-mu’alla

Aaqa gaye maula gaye
Aaqa gaye mere maula gaye
Arsh bhi takte rahe

Arsh-e-barin par farsh-e-zameen par
Charcha hua ye
Aa gaye janejaan, Aa gaye janejaan

Meraj ki shab mahboob ko jab rab ne bulaya
Saj gaye aasman, Saj gaye aasman

Safar-e-meraj se laute to batlaya
Momin ko rashk aya munkir ne jhuthlaya

Siddiq-e-Akbar se Abu Jahal bola
Sach hai kya huq hai kya bolo kya hai mojza

Siddiq-e-Akbar Kaabe me jakar
Kahne lage ye unchi Aaqa ki shan

Meraj ki shab mahboob ko jab rab ne bulaya
Saj gaye aasman, Saj gaye aasman

Mashriq se maghrib tak raushan thi duniya sab
Jannat me wo pahunche gaya ye hooron ne

Aye do aalam ke sardar aye
Marhaba marhaba Salli ‘ala ya Nabi (saw)

Jibril bole sidra se aage jayenge Aaqa
Ab sooyen la makan

Meraj ki shab mahboob ko jab rab ne bulaya
Saj gaye aasman, Saj gaye aasman

Ruhulla koi bana Najiullah koi bana
Nabiyon ko maula na bakhse the mojze

Lekin kisi ko na aise bulaya
Malik ne mere Khaliq ne deedar-e-haq ho gaya

Rahmat ke saye katib wo laye tohfa ibaadat ka
Goonji thi phir azaan

Meraj ki shab mahboob ko jab rab ne bulaya
Saj gaye aasman, Saj gaye aasman