Masjid Nabvi Ye To Bata Kuchh | Anas Younus
Masjid Nabvi Ye To Bata Kuchh | Anas Younus
Masjid nabvi ye to bata kuchh
Sama wo kaisa pyara hoga
Sehan me aaqa (saw) baithen hongen
Gird sahab ka halqa hoga
Masjid nabvi ye to bata kuchh
Sama wo kaisa pyara hoga
Tune apne darwaze par wo
Bacchhe bhi dekhen hongen
Jin bacchhon ne pyar me aksar
Aap ka daman chooma hoga
Masjid nabvi ye to bata kuchh
Sama wo kaisa pyara hoga
Hujr-e-rasool me Siddiq (ra)bhi
Farooq (r.a) bhi, Usman-o-ali (ra) bhi
Qubr-e-rasool me Siddiq (ra)bhi
Farooq (r.a) bhi, Usman-o-ali (ra) bhi
Sare sahaba tare hongen
Beech me chand chamakta hoga
Masjid nabvi ye to bata kuchh
Sama wo kaisa pyara hoga
Un jalwon ke din bhi tere
Yaad ka hissah hongen jisme
Hasan-o-Hussain (ra) ka bachpan yaron
Naana ki god me khela hoga
Hasan-o-Hussain (ra) ka bachpan yaron
Naana ki god me guzra hoga
Masjid nabvi ye to bata kuchh
Sama wo kaisa pyara hoga
Arsh pe chand chamakta dekha
Farsh ke chand ka jalwa dekho
Ek ungli aur chand ke tukde
Poore Mohammad kaise hogen
Ek ungli aur chand ke tukde
Mere Mohammad kaise hogen
Ahl-e-suffa dars me kaisa
Lutf-e-suhana pate hogen
Madni aaqa unke muallim me
Dars-e-mohabbat deten hogen
Madni aaqa rahbar-o-hadi
Dars-e-mohabbat deten hogen
Mere nabi ke gulshan me kya
Rahaten hogi jisdam usme
Ahl-e-madina kaliyan hongin
Unme gulab mehakta hoga
Masjid nabvi ye to bata kuchh
Sama wo kaisa pyara hoga
Sehan me aaqa baithen hongen
Gird sahab ka halqa hoga