Mera Payambar Azeemtar Hai | Anas Younus
Mera Payambar Azeemtar Hai | Anas Younus
Mera payambar azeemtar hai
Mera payambar azeemtar hai
Kamal-e-khallaq zaat uski
Jahan-e-hasti hayat uski
Bashar nahin azmaten bashar hai
Mera payambar azeemtar hai
Wo sharah-e-ehakam-e-haq t’aala
Wo khud hi qanoon khud hawala
Wo khud hi quran khud hi qari
Wo aap mehtab aap haala
Wo aks bhi aaina bhi wo hai
Wo nukta bhi khat bhi daaera bhi
Wo khud nazara hai khud nazar hai
Mera payambar azeemtar hai
Sha’oor laya kitab laya
Wo hashr tak ka nisab laya
Diya bhi kamil nizam usne
Aur aap hi inqelab laya
Wo ‘ilm ki aur ‘amal ki had bhi
Azal bhi uska hai aur abad bhi
Wo har zamane ka raah-bar hai
Mera payambar azeemtar hai
Wo Aadam-o-Nuh (as) se zyada
Buland himmat buland irada
Wo Zohad ‘Isa (as) se koson aage
Jo sabki manzil wouis ka jadah
Har ek payambar nihan hai usme
Hujoom-e-paighambaran hai usme
Wo jis taraf hai khuda udhar ha
Mera payambar azeemtar hai
Bas ek mashkizah ek chatai
Zara si jau ek charpai
Badan pe kapde bhi wajibi se
Na khush libasi na khush qubai
Yehi hai kul kainaat jiske
Gini na jaye sifaat jiski
Wo hi to sultan-e-bahar-o-bar hai
Mera payambar azeemtar hai
Jo apna daman lahu se bhar le
Museebaten apni jaan par le
Jo tegh zan se lade nihattha
Jo ghalib aakar bhi sulah kar le
Aseer dushman ki chah me bhi
Mukhalifon ki nigah me bhi
Ameen hai sadiq hai motabar hai
Mera payambar azeemtar hai
Jise shah-e-shash jihaat dekhun
Use gharibon ke sath dekhun
Inaan-e-kaun-o-makan jo thame
Kudal par bhi wo hath dekhun
Lage jo mazdoor shah aisa
Na zar na dhan sarbarah aisa
Falak nasheen ka zameen pe gohar hai
Mera payambar azeemtar hai
Wo khalwaton me saf-ba-saf bhi
Wo is taraf bhi wo us taraf bhi
Mohaz-o-minbar thikane uske
Wo sar ba sajdah bhi sar ba daf bhi
Kahin wo moti kahin sitara
Wo jaami’at ka isti’aara
Wo subh-e-tahzeeb ka gohar hai
Mera payambar azeemtar hai
Kamal-e-khallaq zaat uski
Jahan-e-hasti hayat uski
Bashar nahin azmaten bashar hai
Mera payambar azeemtar hai