Zulfen Nabi Me Maine | Anas Younus
Zulfen Nabi Me Maine | Anas Younus
1765 downloads
Zulfen Nabi (saw) me maine jo hai qarar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Zulfon ke pech-o-kham me wallail ke nazare
Yak dam ghata si chhayi mahboob jab sanwaren
Phoolon se badh ke zulfon me hai nikhar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Zulfen Nabi (saw) me maine jo hai qarar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Jiske liye the khwaha pahle rasool sare
Alhamdulillah aayen wo waqt me hamre
Ummat ki khatir unko hai ashk-e-bar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Zulfen Nabi (saw) me maine jo hai qarar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Apno ne maare patthar ghairon ne bhi sataya
Zakhmo se choor hain par lab par gila na aya
Sab ko duayen dena hamko duayen dena unka shiaar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Zulfen Nabi (saw) me maine jo hai qarar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Jo sab se awwal awwal eman un pe laaya
Apna wazeer jisko Aaqa (saw) ne khud banaya
Yar-e-mazar hain ab jo yaar-e-ghar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Zulfen Nabi (saw) me maine jo hai qarar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Aisi misaal jag me kab hai kisi ne dekhi
Thame Umar (ra) khalifa hain mohaar oontni ki
Khadim ko oontni par sab ne sawar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Zulfen Nabi (saw) me maine jo hai qarar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Kya tazkirah karun main Usman ba haya ka
Damaad tha wo dohra Sarkar Mustafa (saw) ka
Sab mal-o-jaan karte un par nisar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Zulfen Nabi (saw) me maine jo hai qarar dekha
Maa ki wo god me bhi wallah na pyar dekha
Hai dar Nabi (saw) ka pyara damad aur baradar
Wo jurraton ka paikar wo sher dilawar
Usman (ra) ke baad hamne unka shumaar dekha