Paigham Saba Layi Hai | Owais Raza Qadri

Paigham Saba Layi Hai | Owais Raza Qadri

Paigham Saba Layi Hai | Owais Raza Qadri
: :

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi (saw) se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Har aah gayi arsh pe ye aah ki qismat
Har ashq pe ek khuld hai har ashq ki qeemat
Tohfa ye mila hai mujhe sarkar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Shukr-e-Khuda ke aaj ghadi us safar ki hai
Jis par nisaar jaan falah-o-zafar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai
Na shukr ye tu dekh azimat kidhar ki hai
Lutten hain mare jaaten hain yun hi suna ke ye
Har bar bhi wo aman ke ghairat hazar ki hai
Hamko to apne saye me aaram hi se laye
Hile bahane walon ko ye raah dar ki hai

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Maah-e-Madeena apni tajalli ata kare
Ye dhalti chandni to pahar do pahar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Uske toofail haj bhi khuda ne kara diye
Asl-e-murad hazri us paak dar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Kaabe ka naam tak na liya taiba hi kaha
Poochha tha hamse jisne bhi nuhzat kidhar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Un par darud jinko hajar tak karen salam
Un par salam jinko tahiyat shajar ki hai
Un Par darud jinko kasen be kasan kahe
Un Par salam jinko khabar be khabar ki hai
Jinn-o-bashar salam ko hazir hai assalam
Ye bargaah malike jinn-o-bashar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Shams-o-qamar salam ko hazir hai assalam
Khoobi unhin ki jut se shams-o-qamar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Sango shajar salam ko hazir hai assalam
Kalme se tar zaban darakht-o-hajar ki hai
Sab bahr-o-bar salam ko hazir hai assalam
Kamli unhi ke naam to har bahr-o-bar ki hai
Arz-o-asar salam ko hazir hai assalam
Maljan ye bargaah duaon asar ki hai
Shorida sar salam ko hazir hai assalam
Rahat unhin ke qadmon me shorida sar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Khasta jigar salam ko hazir hai assalam
Marham yahin ki khak to khasta jigar ki hai
Sab khushk-o-tar salam ko hazir hai assalam
Ye jalwah gah malike har khush-o-tar ki hai
Sab Karr-o-bar salam ko hazir hai assalam
Toti yahin to khak pe har karr-o-farki hai
Ahl-e-nazar salam ko hazir hai assalam
Ye gard hi to surma sab ahl-e-nazar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Bhaati nahin hamdam mujhe jannat ki jawani
Sunta nahin zahid se main hooron ki kahani
Ulfat hai mujhe saya-e-deeware Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Ye pyari pyari kyari khana baab ki
Sar jiske aab-o-taab se atish safar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Jannat me aake naar jaat nahin koi
Shukr-e-khuda naweed na to zafar ki hai
Ulfat hai mujhe saaya-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Momin hoon mominon pe rauqurraheem ho
Saail hoon saailon ko khushi lanazar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Jin jin muradon ke liye ahbab ne kaha
Peshe khabeer kya mujhe hajat qabar ki hai
Aa kuchh suna de ishq ke bolon me ae Raza
Mushtaq tab’a lazzaten sauzen jigar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se
Bhini suhani subh me thandhak jigar ki hai
Kaliyan khili thin ruh ki hawa ye kidhar ki
Ubti hui andar me ada kis sahar ki hai
Chubhti hui jigar me sada kis gajar ki hai
Dalen hari hari hain to balen bhari bhari
Kishten amal pari hai ye barish kidhar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Ham jayen aur qadam se lipat kar haram kahen
Sounpa khuda ko tujh ko ye azmat safar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Ham gird-e-kaaba phirte the kal tak aur aaj wo
Ham par nisaar hai ye iradat kidhar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Kalak jabeen ki sajdahe har se chhuraoge
Mujh ko bhi le chalo ye tamanna hajar ki hai
Dooba hua hai shouq me zam zam aur aankh se
Jhalen baras rahen ye hasrat kidhar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Farsa ke jane walon pe gauhar karoon nisaar
Abre karam se arz ye mizab-e-zar ki hai
Aaghosh shouq kholenge jinke liye hakeem
Wo phir ke dekhten nahin ye dhun kidhar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi (saw) se

Haan haan rahe madeena hai ghafil zara to jaag
O paaon rakhne wale ye jaa chashm-o-sar ki hai
Waaroon qadam qadam ye har dam hai jaan lo
Ye rahe jaan fiza mere maula kidhar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Har aah gayi arsh pe ye aah ki qismat
Har ashq pe ek khuld hai har ashq ki qeemat
Tohfa ye mila hai mujhe sarkar-e-Nabi (saw) se
Ghadiyan gini hain barson ki ye shubh ghadi phiri
Mar mar ke phir ye sil mere seene se sar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Allahu akbar apne qadam our ye khak-e-paak
Hasrat malaaika ko jahan wazhe sar ki hai
Miraj ka sama hai kahan pahunche zahiron
Kursi se unchi kursi isi paak dar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Sauden ka qiran hai pahlu maah me
Jhurmut ki qataren tajalli qamar ki hai
Mahboob-e-rabb-e-arsh hai is sabz khubb me
Pahlu me jalwa gah atiq-o-umar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Chhaye malaaika ne lagatar hai darud
Badle hain pahre badle me barish turar ki hai
Sattar hazar subh hain sattar hazar shaam
Kyun bandagi ye zulfon aathon pahar ki hai
Jo ek baar aye dobara na ayenge
Rukhsat ki bargah se bas is qadar ki hai
Tadpa kare badal ke phir aana kahan naseeb
Be hukm kab majal parinde ko par ki hai
Ae wahe bekasi ye tamnna ke ab ummeed
Din ko na shaam ki hai na shab ko sahar ki hai
Ye badliyan na ho to caroron ki aas jaye
Our bargah marhamaten aam tar ki hai
Mahsoom to hai umr me sirf ek bar bar
aasi pare rahe to salakh umr bhar ki hai
Zinda rahe to hazri-e-bargah naseeb
Mar jayen to hayat-e-abad aish ghar ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Kyun tajdaron khawab me dekhi kabhi ye shae
Jo aaj jholiyon me gadayan-e-dar ki hai
Taiba me mar ke thandhe chale jaao aankhen band
Seedhi sadak ye shahar shafaat nagar ki hai
Aasi bhi hai chaheete ye taiba hai zahidon
Makka nahi ke jaanch jahan khair-o-shar ki hai
Kaaba hai bashatan arjumanaara dulhan magar
Saari bahar dulhan-o-dulha ke ghar ki hai
Kaaba dulhan hai turbate athar nahi dulhan
Ye rashke aftab hai ho ghairat qamar ki hai
Dono bani sajeeli ya neeli bani magar
Jo pi ke paas hai wo suhagan kawer ki hai
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Itna ajab bulandi ye jannat pe kis liye
Dekha nahi ke bheekh ye kis unche ghar ki hai
Arsh-e-bari pe kyun na ho firdous ka dimag
Utri hui shabih tere baam-o-dar ki hai
Wo khund jisme utregi abrar ki barat
Adna nichhwar usme mere dulha ki sar ki hai

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Uff behayaiyan ke ye muh aur tere huzoor
Haan tu kareem hai teri khu dar guzar ki hai
Tujh se chhupaun muh to karun kiske samne
Kya aur bhi kisi se tawaqqo nazar ki hai
Jaaun kahan pukarun kise kis ka muh taku
Kya pursi shor jaan bhi sage behunar ki hai

Uff behayaiyan ke ye muh aur tere huzoor
Haan tu kareem hai teri khu dar guzar ki hai
Tujh se chhupaun muh to karun kiske samne
Kya aur bhi kisi se tawaqqo nazar ki hai
Jaaun kahan pukarun kise kis ka muh taku
Kya pursi shor jaan bhi sage behunar ki hai

Mujrim bulaye aaye hain jaan ho gaye goaab
Phir rag ye sham kareemo ke dar ki hai
Sarkar ham gawaaron me tarze adab kahan
Ham ko to bas tameez yehi bheekh bhar ki hai
Labwahe aankhe band hai phaili hai jholiyan
Kitne maze ki bheekh tere paak dar ki hai
Mangenge mange jayenge muh payi payenge
Sarkar me na na hai na hajat agar ki hai
Mangta ka haath uthte hi data ki den thi
Doori qubool-o-arz me bas haath bhar ki hai

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Jannat na de teri ruyyat ko khair se
Is gul ke aage kisko hawas bar ghour ki hai
Sharbat na de to kare baat lutf se
Ye shahad ho to phir kise parwah shakkar ki hai
Sanki wo dekh bad shafaat ki de hawa
Ye aabroo raza tere daman-e-dar ki hai

Paigham saba layi hai ghulzar-e-Nabi se
Aya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se