Duniya Ke Ae Musafir | Junaid Jamshed

Duniya Ke Ae Musafir | Junaid Jamshed

Duniya Ke Ae Musafir | Junaid Jamshed
: :

Duniya ke ae musafir manzil teri qabar hai
Tay kar raha hai jo tu, do din ka ye safar hai

Jab se bani hai duniya Laakhon carodon aaye
Baqi raha na koi mitti mai sab smayaae

Mat bhoolna yahan par, sab ka yahi hashar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabar hai

Aankhon se tune apni kitne janaze dekhe
Hathon se tune apne dafnaye kitne murde

Anjaam se tu apne kyu itna bekhabar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabar hai

Makhmal pe sone wale, mitti pe so rahe hain
Shah-o-Gada yahan par sab ek ho rahe hain

Dono hue barabar, yeh maut ka asar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabar hai

Matti ke putle tujhko, matti me hai samaana
Ek din yahan tu aaya, ek din yahan se jana

rukna nahi yahan par, jaari tera safar hai
Duniya ke ae musafir manzil teri qabar hai