Faizan-e-Mohammad | Junaid Jamshed

Faizan-e-Mohammad | Junaid Jamshed

Faizan-e-Mohammad | Junaid Jamshed
: :

Faizan-e-Mohammad (saw), Faizan-e-Mohammad
Faizan-e-Mohammad (saw), Faizan-e-Mohammad

Har shakhs ki gardan pe hai ehsan-e-Mohammad
Har simt nazar aata hai faizan-e-Mohammad

Mumkin nahin mujh se ho bayan shan-e-Mohammad
Jibrail ameen rahte the darban-e-Mohammad

Har daur me batil ne bahut zor lagaya
Lekin na bujhi mashale quran-e-Mohammad

Ummat me Abu Bakr (ra) ka saani nahi koi
Jo pas tha sab kar diya qurban-e-Mohammad

Har shakhs ki gardan pe hai ehsan-e-Mohammad
Har simt nazar aata hai faizan-e-Mohammad

Islam ki azmat ko hai Umar (ra) ne hai badhaya
Har mulk me phaila diya farman-e-Mohammad

Usman (ra) ne irshad-e-Nabi (saw) samne rakha
Seencha hai lahu deke jo bustan-e-Mohammad

Haidar ki shujaat ho ke Hamzah (ra) ki shahadat
Dono me nazar aayi hame shan-e-Mohammad

Har shakhs ki gardan pe hai ehsan-e-Mohammad
Har simt nazar aata hai faizan-e-Mohammad

Karta hai wo ashaar me bhi zikr-e-sahaba
Jo bhi hai haqiqat me sana khwan Mohammad

Badhti hi rahi shan rafa nalak zikrak
Allah ki rahmat hai nigahban-e-Mohammad

Ae mere khuda tujh se ye danish ki dua hai
Chhoote na kabhi hath se daman-e-Mohammad

Har shakhs ki gardan pe hai ehsan-e-Mohammad
Har simt nazar aata hai faizan-e-Mohammad