Hai Duniya Aaj Kal Hairan | Anas Younus
Hai Duniya Aaj Kal Hairan | Anas Younus
Hai duniya aaj kal hairan pareshan har taraf insan
Bane hain log jiddat ke nashe me adatan haiwan
Pade hain log sab hi nafs-o-shaitaan ki ghulami me
Bhulaate hain khudayi hukm tangi me faraqi me
khizan chhayi gulistan me gunaon ki nahusat se
Jahan phir ho gaya khali rawandari quwwat se
Mukhalif ho gaye insan sab baham zamane me
Lagi hai doud bas har ek ki duniya kamane me
Bulata hai moazzin jab falah aur khair ki janib,
Nazar aati hai susti phir Tabiyat per bahut ghalib
Gharibon ka jo haq lazim tha khushal logon per
Udaten hain wo sab naqdi zamane bhar ke khelon per
Saja kar rakh diya quran bhi humne ghilafon me
Hadisen rah gayin hain band kapde ke lifafon me
Milawat jhooth dhokha hai zabanon per dukanon me
Jo bande man ke sacchhe the wo bas rah gaye fasanon me
Jo aurat thi kabhi izzat musalmanon ke ghar ghar ki
Bahut ban-than ke thokar kha rahi aaj dar dar ki
Chhupaya tha kabhi chehara shariyat ki niqabon se
Wo hasti roothti hai ab haya wale hijabon se
Musalamanon ke dil bhi aaj gano se behalte hain
Zabano par unhin ko gungunate wo tahalte hain
Na izzat baap ki koi, na dil me maa ka darjah hai
Jawan aulad par ab bojh un dono ka kharcha hai
Ye bad-amaaliyan Allah ko bedar karti hain
Zameeni aafaten phir hame bezar karti hain
Taraste sab jo rahte hain hamesha dil ki rahat ko
Ye har lamha jo sahte hain zameen per qatl-o-gharat ko
Mehngaayi ka jo aaya hai ye tufaan duniya me
Jo apni zindagi se tang hain insan duniya me
Khuda ko kar diya naraz kyun jiski hukumat hai
Ye sab hum par bure aamal ki hi to nahusat hai
Jo doori rab se ho jaye jahannum phir thikana hai
Khuda ki ho raza to dono aalam ka khazana hai
Magar rab ki mohabbat me apni shaan yakta hai
Wo bakhshish ke liye bandon ki har dam raah takta hai
Bahut sare bahanon se wo maafi aam deta hai
Wo talib hone walon ko lapak ker tham leta hai
Are tum ko mubarak ho ke ramzan pa liya tumne
Yehi hai khair ka mamba jise phir ja liya tumne
Maheena hai ye wo jisme shayateen qaid hote hain
Wo bando ke palat jane se apna chain khote hain
Hua quran bhi nazil isi maah-e-muqaddas me
Hidayat aam hai rab ki inhi aayat aqdas me
Mili thi fateh makkah bhi musalmano ko ramzan me
Jise fatah-e-mubin kahta hai khud fattah quran me
Hai qeemat farz ke jaisi nafil ki is maheene me
Ataayen hain wafayen hain mere rab ke khazane me
Ada ek farz karne per ajar sattar ka milta hai
Amal ka beej lagte hi ajar ka phool khilta hai
Farishton ka jahannum per bhi pahra sakht hota hai
Jise phir mout aaye wo bahut khushbakht hota hai
Inhi ayyam me har roz jannat ko sajate hain
Hamari muntazir hooron ko mehka kar bithate hain
kushada rizq ho jata hai is maah-e-moazzam me
Zameen per barkaten aati hain is maah-e-moqarram me
Sahar se sham tak bande jo apni bhookh sahte hain
Ye apni in wafaon se khuda ko jeet lete hain
Jo pyase halk bhukhe pet rab ki yaad aati hai
Ada qurbaniyon kis qadar ye rab ko bhati hai
Ye roza rakhna bandon ka bahut mahboob hai rab ko
Ye unke muh ki badbu mushk se marghub hai rab ko
Hai ek hathiyar ye roza gunahon se hifazat ka
Zariya ye bhi hai nafs ke shar se baghawat ka
Chalo ab aa gaya mousam ye neki ki baharon ka
Milega ek neki par tumhen badla pahadon ka
Munadi roz aasmaan ka ek ailan karta hai
Sawali koi hai to aaye rab faizan karta hai
Agar tum maghfirat chaho to bhar lo aa ke jholi me
Jo chahe mangle har ek insan apne apni boli me
Ye pahla ashrah hai ramzan me rahmat barasne ka
Sabhi mahrumiyan zayel gaya ab din tarasne ka
Maafi mangle har ek apne sab gunaahon se
Jo mujrim to pakad le wo nahi girta nigahon se
Hai iska dusra ashrah khuda ki maghfirat wala
Bahut hi khoob rab ka faisla hai maslehat wala
Wo momin maghfirat se khoob sab ka dil lubhate hain
Jahannum se khalasi roz hi das lakh pate hain
Malak aameen kahte hain hamari sab duaaon par
Tarana maghfirat ka hai parindon ki zubano par
Jahannum se fraghat ka hai wo akhri asharah
Bujha dega jahannum ko faqat aansoo ka ek qatrah
Isi mah-e-muqaddas me suno ek raat hai aisi
Nahin payi kisi ummat ne pahli raat is jaisi
Hai assi saal ke khalis ibadat se ye shab afzal
Jo na qadren hain is shab ke apne aqal se bedal
Isi shab ki ‘ibadat par kiya wada hai jannat ka
Wohi to ghar hai momin ka wohi maskan hai lazzat ka
Frishte bhi utarte aasmaan se ye qataron me
Chamak is raat badh jati hai nurani sitaron me
Shaben akhir bhi ramzan ki lati hai ajab tohfa
Khuda deta hai isme darguzar ka qeemti hadiya
Samundar maghfirat ka rab jo pura maah bahata hai
Baraber uske majmuye ke akhir shab badhata hai
Ye ek mauqa jo aaya hai maafi maang lene ka
Yehi hai waqt nafarmaniyon pe khoob rone ka
Surile dhang se ramzan me quran ko parhna
Dua me khub apne rab se tum sargoshiyan karna
Tarawih me khade ho kar khatam quran ka karna
Isi ko parh ke jannat ke sabhi darjon pe tum chadhna
Tumhara nafs bahka kar tumhen maghroor na kar de
Kahin iblis ka sathi tumhen majboor na kar de
Zaroori hai hifazat apne sab amaal ki karna
Namazen padhna roze rakhna faqi maal ke karna
Guzaro zindagi poori ye aaqa ki ataat me
Jagah phir tum bhi paa loge muhammad ki shafaat me
Bachana apna roza tum zaman ke sharr-o-afat se
Kisi se baat jo karlo to narmi se sharafat se
Lajajat khoob karlo apne rab se is maheene me
Safar ho zindagi ka pura islami safine me
Muhafiz tum hamesha kar rahe apni namazon ke
Munazir dekh loge khud hi barkat ke adaaon ke
Ager tum seekh na paye hukm ko maan kar chalna
To phir yun hin masayeb ki dahakti aag me jalna
Rahenge aise hi halaat duniya me tabahi ke
Qareeb hote rahenge din ba din insan kharabi ke
Ilahi naam shamil kar hamara khushnaseebon me
Hamara naam bhi likh de tu jannat ke makeenon me
Hame azad kar de tu jahannum ki hararat se
Bachale hamko bhi tu nafs-o-shaitan ki shararat se
Tu de de martaba apne yahan maqbool bandon ka
Ujale se badal andhere tu be noor qabron ka
Agar tu chah le yaa rab sudhar halaat jayenge
Ye bad-amli khatam hogi ye bande chain payenge
Carodon rahmaten nazil ilahi mustafa par kar
Salamon ki bhi barish tu muhammad mujtaba par kar
Jagade tu ilahi is mubark maah se ghafil ko
Ata kar maghfirat puri anas ko our rahil ko
Jagade tu ilahi is mubark maah se ghafil ko
Ata kar maghfirat puri anas ko our rahil ko