Aap Hi Ke Jalwe | Shaz Khan
Aap Hi Ke Jalwe | Shaz Khan
Aap (saw) ki hi jalwon se har taraf ujala hai
Zulamaton se insan ko aap ne nikala hai
Jaliyon se roze ki chandni si chhanki hai
Uska noor kya hoga noor jiska hala hai
Aap ki hi jalwon se har taraf ujala hai
Zulamaton se insan ko aap ne nikala hai
Unki ek nazar se pahle unki ek nazar ke baad
Har taraf andhera tha har taraf ujala hai
Aap ki hi jalwon se har taraf ujala hai
Zulamaton se insan ko aap ne nikala hai
Usko deen-o-duniya ki har khushi mayassar hai
Jisne ishq-e-Ahmed ko apne dil me pala hai
Aap ki hi jalwon se har taraf ujala hai
Zulamaton se insan ko aap ne nikala hai
Gharq bahr-e-isiya me kab ke ho gaye hote
Ham gunahgaron ko aapne sambhala hai
Aap ki hi jalwon se har taraf ujala hai
Zulamaton se insan ko aap ne nikala hai
Sirm itna samjhi hai aql thokren khakar
Unki manzilen rif’at rif’aton se bala hai
Aap ki hi jalwon se har taraf ujala hai
Zulamaton se insan ko aap ne nikala hai
Ek nazar karam ki ho hal-e-zaar kaifi par
Aap ne to zarron ko kahkashan me dhala hai
Aap ki hi jalwon se har taraf ujala hai
Zulamaton se insan ko aap ne nikala hai