Beti Ki Shan | Anas Younus
Beti Ki Shan | Anas Younus
Use tanha sisakta chhor jab aaya mera bhai
Main beti hun main apni maa ko apne saath le aayi
Wo boodhi ho gayi to ab use ek bojh lagti hai
Jawani apne bacchhon ke liye jisne thi jhulsayi
Hai bas apni hi beewi our bacchhon se use matlab
Usi ko bhool baitha hai jo duniya me use layi
Badi gaadi bada bangla bada ohda sabhi kuchh hai
Magar maa baap mange to nahin jebon me ek payi
Wo kutta paal sakta hai magar maa bojh lagti hai
Use kutte ne kya kuchh bhi wafadari na sikhlayi
Khulega jab khuda ke bank me khata tera ek din
Tere sar par bada qarza chadha hoga mere bhai
Jo mannat mangte the bas hame beta ho beta ho
Unhen beti ki qeemat ab budhape me samajh aayi
Main beti hun main apni maa ko apne saath le aayi
Main beti hun main apni maa ko apne saath le aayi