Kuchh Roz Se Ishq-e-Ahmed | Anas Younus
Kuchh Roz Se Ishq-e-Ahmed | Anas Younus
Kuchh roz se ishq-e-ahmed me yun raat guzara karte hain
Duniya to maze se soti hai, Ham naat sunaya karte hain
Jannat ke farishte bhi unki qismat ka nazara karte hain
Sultan-e-Umam ke qadmon me jo umr guzara karte hain
Ae ishq-e-bilal-e-sadiq per be-wajah sitam farmata hai
Sultan-e-jahan ke diwane himmat nahi haara karte hain
Kuchh roz se ishq-e-ahmed me yun raat guzara karte hain
Duniya to maze se soti hai, Ham naat sunaya karte hain
Wo chahane walon ko apne poochhe to saba ye kah dena
Aanhon ke sahare jeete hain, Ashqon pe guzara karte hain
Allah yeh kaise bande hain, Aaraam mila to bhool gaye
Jab sar pe museebat aati hai, Allah ko pukara karte hain
Kuchh roz se ishq-e-ahmed me yun raat guzara karte hain
Duniya to maze se soti hai, Ham naat sunaya karte hain