Ramzan Mubarak | Mix Vocalist

Ramzan Mubarak | Mix Vocalist

Ramzan Mubarak | Mix Vocalist
: :

Ramzan mubarak, Ramzan mubarak
Ramzan mubarak, Ramzan mubarak

Allah ki rahmat ke shabistan mubarak
Zanjeer me jakda gaya shaitan mubarak

Ta’ato ibadaat hai asaan mubarak
Kahta hai har ek sahib-e-Emaan mubarak

Ramzan mubarak, Ramzan mubarak
Ramzan mubarak, Ramzan mubarak

Bas zikr-o-ibadat ke liye hai ye maheena
Quran ki sama’at ke liye hai ye maheena

Makhsoos tilawat ke liye hai ye maheena
Is maah me nazil huaa quran mubarak

Ramzan mubarak, Ramzan mubarak
Ramzan mubarak, Ramzan mubarak

Jis mard muslman me ho emaan ki shudbud
Sunta hai wo quran to ho jata hai bekhud

Iftar-o-sehar ho ke taraweeh ho tahajjud
Har lamha muqaddas hai har ek aan mubarak

Ramzan mubarak, Ramzan mubarak
Ramzan mubarak, Ramzan mubarak

Neki ki tijarat nhi is maah se behtar
Rutba hai nawaafil ka faraiz ke barabar

Badh jayenge darjaat har farz ke sattar
Sarkar-do-alam ka hai farmaan-e-mubarak

Ramzan mubarak, Ramzan mubarak
Ramzan mubarak, Ramzan mubarak

Jo qadir-e-Mutlaq hain usi rab se daren ham
Neki se asar naama-e-amaal bharen ham

Is maah-e-mubarak ki badi qadar karen ham
Chupke se guzar jaye na mehmaan-e-mubarak

Ramzan mubarak, Ramzan mubarak
Ramzan mubarak, Ramzan mubarak