Chalo Diyar-e-Nabi Ki Janib | Owais Raza Qadri

Chalo Diyar-e-Nabi Ki Janib | Owais Raza Qadri

Chalo Diyar-e-Nabi Ki Janib | Owais Raza Qadri
: :

Salla ‘alaika ya RasoolAllah (saw)
Wa sallam ‘alaika ya HabibAllah

Chalo diyare Nabi ki janib
Darood lab par saja saja kar

Baharen lootenge ham karam ki
Dilon ko daman bana bana kar

Salla ‘alaika ya RasoolAllah (saw)
Wa sallam ‘alaika ya HabibAllah

Na unke jaisa sakhi hai koi
Na unke jaisa ghani hai koi

Wo be nawaaon ko har jagah se
Nawazte hain bula bula kar

Chalo diyare Nabi ki janib
Darood lab par saja saja kar

Salla ‘alaika ya RasoolAllah (saw)
Wa sallam ‘alaika ya HabibAllah

Hai unko ummat se payar kitna
Karam hai rahmat shi’aar kitna

Hamare jurmo ko dho rahe hain
Huzoor aansoo baha baha kar

Chalo diyare Nabi ki janib
Darood lab par saja saja kar

Salla ‘alaika ya RasoolAllah (saw)
Wa sallam ‘alaika ya HabibAllah

Main wo nikamma hun jiski jholi me
Koi husn-e-amal nahin hai

Magar wo ehsaan kar rahe hain
Khatayen meri chhupa chhupa kar

Chalo diyare Nabi ki janib
Darood lab par saja saja kar

Salla ‘alaika ya RasoolAllah (saw)
Wa sallam ‘alaika ya HabibAllah

Ye hi ehsas-e-amal hai meri
Isi se bigdi bani hai meri

Sametta hun karam khuda ka
Nabi ki naaten suna suna kar

Chalo diyare Nabi ki janib
Darood lab par saja saja kar

Salla ‘alaika ya RasoolAllah (saw)
Wa sallam ‘alaika ya HabibAllah

Agar muqaddar ne yawari ki
Agar madine gaya main khalid

Qadam qadam khak us gali ki
Main choom lunga utha utha kar

Chalo diyare Nabi ki janib
Darood lab par saja saja kar

Salla ‘alaika ya RasoolAllah (saw)
Wa sallam ‘alaika ya HabibAllah